“On-Air Hone Se Pehle Hi Drama Social Media Par Top Trend!”: Ahad Raza Mir Ki Wapsi Aur Green TV Ke Naye Drame ‘Aik Mohabbat Aur’ Ke Pehle Episode Ka Fans Ko Besabri Se Intezaar

Green TV ka naya highly anticipated drama serial ‘Aik Mohabbat Aur’ aaj raat 8 baje on-air hone se pehle hi social media platform X (Twitter) par top news mein shamil ho gaya hai. Is drame ke zariye maroof adakar Ahad Raza Mir Pakistani television par wapsi kar rahe hain, jis ki wajah se fans mein khushi ki lehar daur gayi hai.
“Ilzamaat Lagane Par Alizeh Shah Ka Mazaq Urana!”: Influencer Ki Video Par Sarah Khan Ka Laughing Emoji Comment, Indirect Dig Viral

Sarah Khan ne Falak Shabir par Alizeh Shah ki taraf se lagaye gaye ‘double standards’ ke ilzamaat par indirect reaction dia. Influencer Zoya Sheraz ne aik video mein Alizeh Shah ko tanqeed ka nishana banate hue kaha ke unhon ne apni marzi se kaam kiya tha. Sarah Khan ne is video par laughing emoji ka comment kia.
“Pata Nahi Falak Jaise Logon Ka Dimaagh Kab Khawateen Ke Kaproon Se Niklega”: Falak Shabir Ke Bayan Par Hina Parvez Butt Ka Jawab

Hina Parvez Butt ne Falak Shabir ke khawateen ke libas par diye gaye bayan par unhein kadi tanqeed ka nishana banaya hai. Hina Parvez Butt ne kaha ke pata nahi Falak jaise logon ka dimagh kab khawateen ke kaproon se nikle ga. Unhon ne mazeed kaha ke is tarah ki soch hi Pakistan ko aage barhne se rok rahi hai.
“Urdu Mein Khat Likhna Nahi Aata Aur Bare Writers Par Tanqeed!”: Khalil-Ur-Rehman Qamar Ka Nadia Khan Par Shadeed Gussa

Khalil-ur-Rehman Qamar ne Nadia Khan par gusse ka izhaar kiya hai. Unhon ne Nadia Khan ki tanqeed ka jawab dete hue kaha ke yeh hamari badqismati hai ke jinhein Urdu mein khat likhna nahi aata, woh writers par tanqeed karte hain. Unhon ne mazeed kaha ke Nadia Khan un ki nahi balkay pure Pakistan aur talent ki tauheen kar rahi hain.
“Mujhe Apne Shohar Par Fakhr Hai!”: Drama ‘Zanjeerain’ Mein Ameer Gilani Ki Shandaar Adakaari Par Mawra Hocane Ka Mohabbat Bhara Paigham Viral

Mawra Hocane ne drama ‘Zanjeerain’ mein behtareen adakari par Ameer Gilani par fakhr ka izhaar kiya hai. Dono ne law college ke baad drama ‘Sabaat’ mein aik sath kaam kiya aur phir shadi ke bandhan mein bandh gaye. Ameer Gilani ne is drame mein ‘Mudassir’ ka kirdaar nibhaya, jis par Mawra ne un ke liye aik muhabbat bhari post share ki.
“Zabardasti Chote Kapray Pahnaaye Aur Ab Pabandi Ka Mutalba!”: Alizeh Shah Ka Falak Shabir Aur Sarah Khan Ke ‘Double Standards’ Par Bara Inkishaaf

Alizeh Shah ne Falak Shabir ko be-naqab kardiya. Falak ne Punjab ki CM se khawateen ke chote kapron par pabandi ka mutalba kiya tha. Alizeh Shah ne inkishaf kiya ke un ke sath song ‘Yaadan’ karte waqt Falak ne unhein zabardasti chote kapray pehnaaye thay, jinhein un ki bewi Sarah Khan ne khud style kiya tha.
“Message Ka Jawab Na Dene Par Mahira Aur Fahad Ke Numbers Delete Kar Diye Thay!”: Bushra Ansari

Senior adakara Bushra Ansari ne aik hairat angez inkishaf karte bataya ke unhon ne aik dafa Mahira Khan aur Fahad Mustafa ke mobile numbers delete kar diye thay. Bushra Ansari ke mutabiq, unhon ne yeh qadam is liye uthaya kyun ke un dono ne un ke bhejay gaye messages ka jawab nahi diya tha.
“Mein Tumhein Jail Se Nikal Sakta Hoon, Qabar Se Nahi!”: Momina Iqbal Ka Khawateen Par Zulm Aur Apne Diffa Ke Hawale Se Post, Social Media Par Viral

Momina Iqbal ne social media par khawateen ke haqooq aur un par hone wale zulm ke khilaaf aik quote share kiya hai. Is bayan mein aik baap ki taraf se betiyon ko seekh di gayi hai ke agar koi mard un par haath uthaye to use tabaah kar dein, kyun ke baap unhein jail se nikal sakta hai magar qabar se nahi.
“Khoobiyan Dhoondna Bhi Aik Khoobi Hai Aur Aeb Dhoondna Aik Aeb!”: Adaakara Shagufta Ejaz Ka Doosron Ko Parakhne Ke Hawale Se Sabaq-Amoz Bayan Viral

Shagufta Ejaz ne social media par aik sabaq-amoz aur khubsoorat paigham share kiya hai. Unhon ne bataya ke doosron mein khoobiyan dhoondna khud aik khoobi hai, jabke musalsal doosron mein aeb ya khamiyaan nikalna khud aik bohot bara aeb hai. Unhon ne logon ko naram-mizaji, tareef aur positivity apnanay ka mashwara diya.
“Zindagi Behtar Hoti Hai Jab Aap Khush Hote Hain… Lekin Yeh Tab Behtareen Ban Jati Hai Jab Aap Ki Wajah Se Doosre Khush Hon.” Reema Khan

Reema Khan ne zindagi aur khushiyan baantne ke hawale se aik bohot hi pyara paigham share kiya hai. Unhon ne farmaya ke zindagi tab behtar hoti hai jab aap khush hote hain, lekin yeh tab behtareen ban jati hai jab aap ki wajah se doosre khush hon. Saath hi unhon ne sab ke liye Allah ke karam ki dua bhi ki.