Khalil-ur-Rehman Qamar ne Nadia Khan par gusse ka izhaar kiya hai. Unhon ne Nadia Khan ki tanqeed ka jawab dete hue kaha ke yeh hamari badqismati hai ke jinhein Urdu mein khat likhna nahi aata, woh writers par tanqeed karte hain. Unhon ne mazeed kaha ke Nadia Khan un ki nahi balkay pure Pakistan aur talent ki tauheen kar rahi hain.