Site A area mein Police aur Rangers ke darmiyan firing se eik police constable Waseem Akhtar halaak aur Rangers ka Noman zakhmi ho gaya. SSP Keamari ke mutabiq dono ke darmiyan jagra hua tha jo baad mein firing mein badal gaya. Noman 34 Wing mein tainaat hai, jabke Waseem Gulshan-e-Maymar mein duty par tha. Dono afraad se 9mm pistols baramad hui hain.
Aaj 12 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 287 PKR, Euro 335.5 PKR, British Pound 390 PKR, UAE Dirham 78.20 PKR, Saudi Riyal 76.50 PKR, Kuwaiti Dinar 927.65 PKR, Canadian Dollar 210 PKR, Australian Dollar 187.50 PKR, Malaysian Ringgit 66.46 PKR, Swiss Franc 353.63 PKR, Indian Rupee 3.23 PKR.
25 saala Indian tennis player Radhika Yadav ko us ke walid Deepak Yadav ne goli maar kar qatal kar diya. Ghar mein dono akelay tha. Wajah gharelu tanaza, social media par Radhika ki presence, aur logon ki tanqeed thi. Walid ne qabul kiya ke log usay beti ke paison par guzara karna ka tana detay tha. Radhika ke kirdar par bhi sawal uthate tha.
Islamabad High Court ne federal hukoomat par sakht narazgi ka izhar kiya ke Aafia Siddiqui ke release, sehat aur wapsi se mutaliq report ab tak pesh nahi ki gayi. Justice Ejaz Ishaq Khan ne kaha agar report na di gayi tou poori federal cabinet ko talab karenge. Court ne report jama karwane ke liye agle haftay tak ki mohlat di hai.
Elon Musk ki company Tesla 15 July ko Mumbai mein apna pehla store kholne ja rahi hai, jise “experience centre” kaha ja raha hai. Tesla ki Model Y ki paanch gaariyaan Mumbai pohanch chuki hain, jin ki keemat ₹27.7 lakh hai aur in par ₹21 lakh se zyada import duty lagi hai. Model Y ki expected price ₹47 lakh se zyada hogi india mein.
Johns Hopkins University ke sciencedaanon ke AI-guided robot ne surgery ki videos par training hasil ki. Robot ne pehli dafa, baghair insani madad ke, eik zinda jism par gallbladder nikaalne ka lamba marhala mukammal kiya. Mahireen ke mutabiq, robot ne 100% sahi se kaam kiya hai, lekin insan surgeon ke muqablay mein zyada waqt liya.
Adakara Humaira Asghar ki wafat ke baad unke ghar walon par laaparwahi ka ilzam lagaya gaya, lekin unke bhai Naveed Asghar ne wazahat di ke woh police ke sath lagataar raabta mein thay. Unka kehna tha ke walid ne zehni dabao ki wajah se body lene se inkar kiya. Forensic reports aayengi to us ke baad apna Laiyha Amal batayenge.
Aaj 11 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 286.5 PKR, Euro 336.25 PKR, British Pound 390 PKR, UAE Dirham 78.10 PKR, Saudi Riyal 76.45 PKR, Kuwaiti Dinar 926.45 PKR, Canadian Dollar 209 PKR, Australian Dollar 186 PKR, Malaysian Ringgit 66.46 PKR, Swiss Franc 353.63 PKR, Indian Rupee 3.23 PKR.
Governor Sindh Kamran Khan Tessori ne actress Humaira Asghar ki dafan aur janaze ke tamam kharch apne zimay le liye hain. Unho ne kaha ke agar khandan shaamil nahi hota to wo khud sara intezam karenge. Janaza Governor House mein ada kiya jayega, jahan tayyariyon ka hukam bhi de diya gaya hai.
Netflix par dhamakedar films ne sab ka dhyan kheench liya hai. Aaj ke top 10 trending titles mein Raid 2, The Old Guard 2, Thug Life, KPop Demon Hunters, The Old Guard, Infinite, Jaat, Sikandar, HIT The Third Case, aur Jewel Thief The Heist Begins shaamil hain. Ye movies zabardast action aur kahani ki wajah se pasand ki ja rahi hain.
YouTube ne 15 July se apni monetization policy mein aham tabdeeli ka elan kiya hai, jiska maqsad asli aur creative videos ko promote karna hai. Naqli, low quality, AI se banayi gayi aur bar bar dohrayi janay wali videos ko discourage kiya jayega. Nayi policy ke mutabiq maloom hoga ke kis qisam kai content se paisa kamaya ja sakta hai aur kis se nahi.
Pakistan mein chandi ki qeemat mein bhi khaasa izafa dekha gaya hai. 24 karat chandi ka eik tola ab 3851 rupay ka ho gaya hai jabke 10 gram ki keemat 3301 rupay tak pohanch gayi hai. Agar aap har mahene eik tola chandi khareed lein tou aanay walay waqt mein yeh eik zabardast investment sabit ho sakti hai.
Thursday ko Pakistan aur duniya bhar mein gold kai daam mein zabardast izafa dekha gaya. 24 karat gold ka eik tola 3200 rupay se barh kar 354700 rupay ka ho gaya. 10 gram gold ki keemat 2515 rupay se barh kar 278766 rupay tak pohanch gai. Duniya bhar mein bhi gold ki keemat 32 dollar se barh kar 3324 dollar ho gayi.
Raza Samo ne hal hi mein eik video mein bataya ke Dubai ka visa Pakistanion ke liye mushkil hota ja raha hai, kyunke kai desi log wahan ke qanoon follow nahi kar rahe. Khufiya tor par larkiyon ki videos banana, bheek mangna aur chori jaisa crimes aam ho gaye hain. Saudia mein bhi 2022 mein 5000 Pakistanion ko deport kiya gaya hai.
Police ne Faisalabad mein eik call centre par chapa maar kar 149 afraad ko giraftar kar liya, jismein 71 ghair mulki, zyadatar Cheeni shehri shamil tha. NCCIA ke mutabiq yeh call centre Ponzi schemes aur investment fraud mein mulawis tha. Yeh log awaam ko dhoka de kar bohat ziada raqam najaiz tareeqon se ikatthi kar rahe thay.
55 saala Faizul Haq ne sabit kar diya ke taleem hasil karne ke liye umar nahi lagan zaroori hoti hai. Woh ek sarkari school mein chaprasi ki duty ada karte hain. Unhon ne 600 number le kar second division mein matric pass kiya. School ke ustadon ki hosla afzai se unka taleemi khwab poora hua.
Dera Ismael Khan mein subah ke waqt Karri Khaisoor-Chashma Road par eik truck aur car ke darmiyan shadeed tasadum hua, jis ke natije mein eik aurat samait paanch afraad jaan bahaq ho gaye. Tamaam afraad car mein safar kar rahe thay aur Dera Ismael Khan ke rehne walay thay. Rescue 1122 ne laashein DHQ hospital muntakil kar dein.
Karachi ke Orangi Town mein 24 saala Jibran ko daketi ke dauran goli maar kar qatal kar diya gaya. Jibran kuch arsa pehle Saudi Arabia se walid ke inteqal ke baad wapas aaya tha. Woh ghar ke bahar betha tha ke dakoon ne mobile aur purse cheen kar goli chala di. Mulzim ki talaash jaari hai.
Balochistan, Kharan mein zalzale ke jhatkay mehsoos kiye gaye. Seismological Center ke mutabiq zalzale ki shiddat 3.8 record ki gayi, jabke gehraai 30 kilometer thi. Zalzale ka markaz Kharan se 34 kilometer southeast mein tha. Jhatkon ke baad log dar aur ghabrahat ka shikar ho gaye, lekin kisi nuqsan ki report nahi mili.
Aaj 10 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 286.5 PKR, Euro 336.25 PKR, British Pound 390 PKR, UAE Dirham 78.10 PKR, Saudi Riyal 76.45 PKR, Kuwaiti Dinar 926.45 PKR, Canadian Dollar 209 PKR, Australian Dollar 186 PKR, Malaysian Ringgit 66.46 PKR, Swiss Franc 353.63 PKR, Indian Rupee 3.23 PKR.
Rahim Yar Khan mein afsosnaak waqia hua jahan zehreela khana khanay se 2 choti bachiyan jaan bahaq ho gai, jabke teesra bacha abhi bhi intahai nazuk haalat mein hai. Walidain ke mutabiq khana ghar ka bana tha. Sheikh Zayed Hospital mein pohanchne ke baad un mein se doo ki maut ho gayi. food sample laboratory bhej diya gaya hai.
NEPRA ne bijli ki qeemat kam karne ki notification jari kar di hai. DISCOs ke consumers ke liye 49 paise per unit aur K-Electric ke liye 4 rupay 60 paise per unit ki kami ki gayi hai. Yeh faisla fuel adjustment ki buniyad par kiya gaya hai, lekin yeh Lifeline, prepaid users aur EV charging stations par laagu nahi hoga.
Kabhi bhi job chhor kar foran business shuru na karein. Ager aap job kar rahe hain aur business ka irada hai, tou apne 24 ghanton mein se sirf 4–5 ghante part-time business ko dein. Aista aista seekhein, samjhein aur grow karein. Business mein sabr zaroori hai. Taraqqi dheere dheere milti hai, jaldbazi nuksan ka sabab ban sakti hai.
Alina Amir ki lip sync video “Woh jo pills khati ho woh kya hain?” ne Instagram par dhamaka macha diya hai. Is video ko ab tak 105 million views, 6.4 million likes aur 1.3 million shares mil chuke hain. Alina ne Insta Story mein kaha, “Thank you for the love.” Fans is trend par reaction aur funny videos bhi bana rahe hain.
Netflix ki mashhoor Japanese series Alice in Borderland ka Season 3, 25 September 2025 ko duniya bhar mein release hogi. Pehlay do seasons duniya bhar mein bohot popular huay. Ab yeh series ek baar phir intense story, suspense aur action se bharpoor manzar dikhane aa rahi hai. Iske teaser ko YouTube par 2.7 million dafa dekha ja chuka hai.
State Bank ke mutabiq overseas Pakistanion ne eik saal mein $38.3 billion Pakistan bheje. Sirf June 2025 mein $3.4 billion aaye. Sab se zyada paisay Saudi Arabia se $823.2 million, uske baad UAE se $717.2 million, UK se $537.6 million aur US se $281.2 million bheje gaye. Hamare bahr mulk rehne wale bhai watan ko mazboot banane mein apna kirdar ada kar rahe hain.
Mohtarma Fatima Jinnah 31 July 1893 ko paida hui aur 9 July 1967 ko Karachi mein wafat pa gai. Aaj unki 58th barsi poore mulk mein aqeedat aur izzat ke sath yaad ki ja rahi hai. Watan ke liye unka lagan, rehnumai aur khidmaat qaum kabhi nahi bhool sakti. Unhon ne khawateen ke liye aham kirdar ada kiya.
Rawalpindi mein eik walid ne apni 16 saal ki beti ko goli maar kar qatl kar diya kyun ke us ne mobile se TikTok account delete karne se inkaar kar diya. Waqia Rawat police station ke ilaqay mein hua. Ghar walon ne qatl ko khudkushi ka rang dene ki koshish ki, lekin tafteesh se maaloom hua ke larki ko qatl kiya gaya tha.
United Arab Emirates nai wazeh taur par kaha hai ke kuch khaas mulkon ke logon ko lifetime Golden Visa dene ki koi policy nahi hai. ICP ke mutabiq sirf hukoomi zarye se hi visa apply kiya ja sakta hai. Jhootay daaway karnay walay consultants ya websites ke khilaf qanooni karwai ki jaayegi, awam ko hoshiyar rehna chahiye.
Karachi mein inteqal karne wali actress Humaira Asghar ki laash lene se unke walid ne inkar kar diya hai. SSP South Mahzoor Ali ke mutabiq, police ne Humaira ke walid aur bhai se rabta kiya magar walid ne kaha ke wo 2 saal se us se talluq tor chuke hain. Wafat ki wajah ka taayun postmortem aur chemical examination report ke baad hoga.
11 July ko Baba Haji Sher Diwan ke Urs ki waja se public holiday ka elan kiya gaya hai. Vehari Deputy Commissioner Imrana Tauqeer ke mutabiq, is din tamam sarkari daftar band rahenge. Magar taleemi board aur universities ke imtihaan mutasir nahi honge. Health, security, municipal aur emergency services ka kaam mamool ke mutabiq jaari rahega.
Aaj 9 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 285.7 PKR, Euro 335 PKR, British Pound 389 PKR, UAE Dirham 77.8 PKR, Saudi Riyal 76.15 PKR, Kuwaiti Dinar 922.30 PKR, Canadian Dollar 208 PKR, Australian Dollar 185.5 PKR, Malaysian Ringgit 66.46 PKR, Swiss Franc 353.63 PKR, Indian Rupee 3.23 PKR.
Karachi ke Ancholi ilaqay mein Vigo aur motorcycle ke darmiyan tasadum hua, jismein 19 saala Muhammad Ibrahim aur 17 saala Abdul Ahad shadeed zakhmi ho gaye, jo Agha Khan Hospital mein ilaj kay liye dakhil hain. Vigo JDC ke General Secretary Zafar Abbas ke naam register hai, jise Arab Raza chala raha tha, police ne dono gaariyan qabzay mein le li hain.
Muzaffargarh ki tehsil Alipur ke ilaqay Langrawah mein eik anokhi dakaeti hui jahan 30 musallah dakoo 180 bhaisain chura kar farar ho gaye. Police ka kehna hai ke dakoon ka talluq Bosan aur deegar jaraiem pesha gangs se hai, un ki talaash ke liye Muzaffargarh aur Rajanpur ke kachay ilaqay mein nakabandi karwa di gayi hai.
Larkana, Sahib Khan Melano mein eik dardnaak waqia hua, jahan eik hi khandan ki chaar chhoti bachiyan kal se laapata thi aur aaj unki laashein eik taalab se mili. Bachiyan kheton mein walidain se milne gayi thi. Maqtoolon mein Bushra 5 saal, Fatima 6 saal, Humaira 7 saal aur Amna 8 saal, ki thi ilaqay mein soog ka mahol hai.
Muzaffarabad mein 3.5 shiddat ka zalzala mehsoos kiya gaya, jiska markaz Muzaffarabad se 10 kilometer shumal mashriq mein aur gehrai 18 kilometer record ki gayi. Log ghabra kar gharon se bahar nikal aaye. Haal hi mein Pakistan mein zalzalon mein izafa dekha gaya hai, jo awam ke liye tashweesh ka sabab ban raha hai.
Bangladesh tour se pehle Pakistan cricket team ko bara nuqsan hua hai, kyunke fast bowler Haris Rauf hamstring injury ka shikar ho gaye hain. Yeh choot unhein America mein Major League Cricket k doran lagi, jahan wo San Francisco Unicorns ki taraf se khel rahe thay. Unki jagah Ben Lister ko team mein shamil kar liya gaya hai.
Shahra-e-Faisal par doo motorcycles ke darmiyan takraar ke natijay mein eik shakhs jaan se gaya aur doosra zakhmi hua. Police ke mutabiq wafat panay wala Shahzad tha. Tez raftari ke sabab motorcycles aapas mein takrain, jiske nateeje mein yeh afsosnaak haadsa pesh aaya.
Lyari ke Baghdadi ilaqay mein ek rehaishi imarat girne se 27 afraad jaan bahaq ho gaye. Deputy Commissioner South ne teen rukni committee bana di hai. Committee ne SBCA se notice aur saboot talab kiye hain, aur jaanch rahi hai ke kya K-Electric, Water Board aur Sui Gas ko bijli, pani aur gas band karne ka hukam diya gaya tha. Report ke baad mazeed action hoga.
Republican Saddar Donald Trump aur us ke sab se baray campaign financer Elon Musk ke darmiyan ikhtilaf aur barh gaya jab Musk ne eik nai political party “America Party” banane ka elan kar diya. Musk ne kaha ke Trump ka “big, beautiful” tax bill mulk ko barbaad kar dega. Musk ne followers se mashwara le kar ye faisla kiya.
Lahore se Skardu jaane wali eik private airline ki flight PA-481 ko takeoff ke foran baad bird strike ka samna hua. Tayara mehfooz tor par wapas airport par utar gaya. Airline ne flight cancel kar di hai. Tamam musafir mahfooz hain, aur mutasir logon ke liye alternate flights ka intezam kiya ja raha hai.
Celebrity ki shaadi ho to awam bhi Netflix ki tarah har scene ka intezar karti hai. Mehngi dresses aur royal setup dekh kar awam ko lagta hai har banda aise hi shaadi karta hai. Aesa nahi hai 70% cheezen sponsored hoti hain, baaqi investment. Har designer jora aur luxury setup views k liye hota hai. Jo jitna mehnga dikhayega, utna viral hoga.
Rawalpindi, Kahuta Tehsil mein tez barish ke baad eik ghar ki chhat gir gayi, jiss ke nateeje mein eik bacha jaan bahaq ho gaya. Rescue 1122 ki team ne barwaqt karwai karte hue giray hue makaan ke malbay tale dabay chaar afraad ki jaan bachai. Rescue 1122 ki team ne jaan bahaq bache aur zakhmiyon ko Hospital muntakil kar diya.
India aur Bangladesh ke darmiyan 17 August se Dhaka mein shuru hone wali white-ball series, jisme 3, ODI aur 3, T20 shamil thay, 2026 tak moattal kar di gayi hai. (BCB) aur (BCCI) ke mushtarka bayan ke mutabiq yeh faisla dono teams ki aalmi cricket masroofiyat aur schedule ko madde nazar rakh kar kiya gaya hai.
Agar faisla karna ho ke mard ko taleem di jaye ya aurat ko, to tarjeeh aurat ko milni chahiye, kyunke aurat eik bachay ki pehli ustaad hoti hai. Agar aurat taleem yafta na ho, to woh apne bachao ki behtar tarbiyat nahi kar sakti. Taleem yafta maa sirf ghar nahi, puri nasl ki soch aur kirdar ko roshan banati hai.
Federal government ne sarkari mulazimeen ki tankhwahon mein 10% izafa aur 30% disparity allowance dene ka notification jari kar diya hai. Yeh izafa 1 July 2025 se nafiz hoga. 10% ad hoc allowance tamaam federal, armed forces aur contract employees ko milega, jabke Grade 1 se 22 tak ke mulazimeen ko 30% disparity allowance 30 June 2022 ki basic pay par diya jaega. Yeh izafa bhi 1 July 2025 se nafiz hoga.
Aaj kal ke digital daur mein kitabein parhne ka rujhan wazeh tor par kam hota ja raha hai. Magar kitabein insani soch, samajh aur maloomat mein izafa karti hain. Agar har roz sirf 1 safha bhi parha jaye to dheere, dheere soch behtar hoti hai. Achi kitabein shakhsiyat mein behtari la sakti hai.
Ameer Jamaat-e-Islami Hafiz Naeem-ur-Rehman ne Karachi mein imarat girne ke waqia mein 7 afraad jaan bahaq hone aur Neelum River mein gaari girne ke waqia mein 8 logon ki halakat par gehra gham aur afsos ka izhar kiya hai. Unhon ne jaan bahaq afraad ke khandanon ke saath hamdardi ka izhar karte hue zakhmiyon ke liye jald sehatyabi ki dua bhi ki.
Hukumat-e-Pakistan aur French Development Agency ke darmiyan muahida hua hai jisme France Pakistan ko €12 million ka grant dega. Yeh grant European Union (EU) ki jaanib se faraham ki gayi hai. Project ka maqsad Water and Sanitation Agency (Wasa) Lahore aur Faisalabad ki services behtar banana aur Housing Department mein eik mo’assar nizaam ke nafaz mein madad karega.
PTA ne overseas Pakistanis ke liye 120 din ki tax-free mobile registration facility ka elan kar diya hai. Yeh automated aur free service har dafa Pakistan aane par dastiyab hogi. Maqsad yeh hai ke overseas logon ko mobile registration ke masail se bachaya ja sake aur unki connectivity barqarar rahe.
Karachi mai Muharram ke security concerns ke sabab BRT Green Line 8, 9 aur 10 Muharram ko band rahegi. Peoples Bus Service ke 8 Muharram ko 5 route partial affected honge, jabke 9 aur 10 Muharram ko 7 route mukammal band rahenge. MA Jinnah Road bhi band rahega. Traffic Police ne alternate routes jari kiye hain. 5 aur 6 July (9,10 Muharram) ko Youm-e-Ashura par public holiday hai.
Nihar mu khajoor ke beej ka powder lena sehat ke liye mufeed mana ja raha hai. Yeh digestive system behtar banata hai, heart health ko support karta hai, blood sugar ko control mein rakhta hai, bones ko mazboot banata hai aur weight management mein madad deta hai. Barhtay heart attack ke khatrey ke dour mein yeh ek qudrati option hai.
Tez raftar bus, trawler se takra gayi, khatoon samait do afraad jaan bahaq aur do shadeed zakhmi hue. Yeh hadsa Nankana Sahib, M-3 Motorway par Keharay Kalan Interchange ke qareeb us waqt pesh aaya jab driver ne bus par se control kho diya. Zakhmiyon mein Azha (36) aur Tassaduq Hussain (43) shamil hain.
Mashhoor adakar Tauqeer Nasir ko Punjab Film Censor Board ke chairman ke ohday se hata diya gaya hai. Unki jagah Secretary Information & Culture Syed Tahir Raza Hamdani nai chairman ban gaye hain. Wasi Chaudhry ko vice chairman muqarrar kiya gaya hai. Nai board mein adakara Resham samait showbiz ki kai aham shakhsiyat shamil hain.
Mulk bhar mein nai monsoon spell ka aaghaz ho gaya hai jo 10 July tak jaari rehne ka imkaan hai. Punjab aur KPK ke mukhtalif ilaqon mein shadeed barish hui, sab se zyada 98mm barish Cherat mein record hui. NDMA ne flood aur landslide ka alert jaari kiya hai. Awaam ko ehtiyaat aur rescue idaron se raabta rakhne ki hidayat di gayi hai.
Starlink ki satellite internet service Pakistan mein ek aur rukawat ka shikar ho gayi hai. PSARB ki temporary registration June mein expire ho gayi, aur ab tak permanent approval nahi mil saka. PTA se license lena mushkil ban gaya hai. Starlink ne tasdeeq ki hai ke wo issue ka jaiza le rahe hain aur hukoomat ki policy ka intezar hai.
Chhipa Sahab ne apne social media par eik video share ki jisme eik bacha apne walid se mango cake maang raha tha, lekin paisay kam thay. Chhipa Sahab ne kaha: “Jo bacha chahta hai woh daido, paisa main de dunga. Cake par likh do: ‘Chhipa Sahab ki taraf se gift hai’, lekin unhein mat batana ke paisa maine diya hai.”
Karachi ke Orangi Town mein walid ne apne 21 saal ke beta ko Khawaja Sara se dosti rakhne par qatal kar diya. Police ne Abdul Ghaffar ko giraftar kiya. Mulzim ka kehna hai ke beta Khawaja Saraon se aksar milta tha aur mana karne ke bawajood baaz nahi aaya. Pehle beta ko bijli ke jhatke diye gaye, phir usay qatal kiya gaya.
PDMA ne Punjab bhar mein 5 July se shuru hone wale taqatwar monsoon spell ke liye high alert jaari kar diya hai. Khaas tor par Youm-e-Ashura ke moqe par shadeed barishon ka imkaan hai. Rain emergency plan tayar hai, drainage system activate kar diye gaye hain aur monitoring desks qaim ki gayi hain.
Islamabad Traffic Police ne motorcycle par sawar dono afraad ke liye helmet pehnna lazmi karne ka faisla kiya hai. CTO Zeeshan Haider ke mutabiq, mard aur khawateen dono ko helmet pehnna hoga. 2 hafton ki awareness campaign ke baad challan ka silsila shuru hoga. Helmet ka istemal hadsa ki surat mein zindagi bachane mein madadgar sabit hota hai.
Petrol aur diesel ke qeemat mein izafa hone ke baad Pakistan Railways ne bhi kirayoon mein 2% izafa kar diya hai. Ye izafa 4 July se nafiz hoga aur tamam passenger, shuttle aur saloon gaariyon par laagu hoga. Pehlay se karwai bookings par bhi ye izafa hoga. Railway officials ke mutabiq, diesel mehnga hone se 109 million ka nuqsan ho raha tha.
Nepra ne 100 se 500 unit mahana bijli istemal karne walon ke liye 1.15 rupay fi unit bunyadi tariff mein kami ki hai. Yeh kami hukoomati notification ke baad poore mulk mein nafiz ki jaye gi. Faislay ka maqsad bijli ke bills mein raahat dena aur awam ka maali bojh kam karna hai.
Khyber Pakhtunkhwa ke zila Bajaur mein Siddiqabad Phatak Mela Ground ke qareeb bomb dhamaka hua. Dhamakay mein Deputy Commissioner aur 2 police ahlkaron samait 4 afraad shaheed ho gaye. 11 log zakhmi hue jinhein Rescue 1122 ki team ne bar waqt pohanch kar tibbi imdad faraham ki aur unhein District Hospital Khar muntaqil kiya.
Punjab Chief Minister Maryam Nawaz ki qiyadat mein “Apni Chhat, Apna Ghar” project ke taht chand mahino mein 50 hazar se zyad ghar tameer hue aur 57.9 arab rupay ke qarzay mustahiq afraad ko mile. Punjab hukumat ke mutabiq yeh mansoba sirf makaan ki farahmi nahi, balkay rozgar, maqami ma’eeshat aur construction sector ke farogh ka sabab bhi ban raha hai.
Aala satah ijlaas mein hukumat ne 5 lakh ton cheeni import karne ka faisla kiya hai. Cheeni ki import hukumat khud karegi aur qeemat mein kisi qisam ka izafa bardasht nahi kiya jayega. Zakhira andozi aur mehngi cheeni bechnay walon ke khilaf sakht karwai ki jayegi taake qeemat ko qaboo mein rakha ja sake.
Asia Cup 2025 ka aaghaz 4 ya 5 September se honay ka imkaan hai, final faisla is hafta expected hai. India mehzban hai, lekin event hybrid model ke tehat hoga. T20 format ka ye cup UAE me hoga. Pak-India ka muqabla 7 September ko Dubai me hoga. Pehle UAE aur Sri Lanka ko mehzbani ke liye dekha gaya, magar halat ke tanazur me UAE chuna gaya.
Thalassemia Eik takleef deh bemari hai. Ye khoon ke us marz ko kehte hain jis mein achha aur meyari khoon nakaafi miqdaar mein banta hai. Maa baap mein genes ki khamiyon ki wajah se ye bemari aulaad mein muntaqil hoti hai. Bacha zindagi bhar intaqal-e-khoon ke liye haspatalon ke chakkar lagata hai. Is liye shaadi se pehle test zaroor karwaya jaye.
Jaise hee monsoon ka season shuru hota hai, mulk bhar mein dengue, malaria, skin problems aur doosray mutaddi amraz sar uthane lagte hain. Humein chahiye ke monsoon ke dino mein safai ka khaas khayaal rakhein. Pani ko kahin bhi jama na honay dein, machhar mar spray ka istemal karein aur apne ghar aur aas paas ke ilaqay ko saaf rakhein.
Sadiq Abad mein aam ke baagh se 13 mazdoor, jin mein do bachay bhi shamil hain, dakoo’n ne aghwa kar liya aur unhein katcha area le gaye. Waqe ke baad do mukhtalif ilaqon ke police stations ke darmiyan ikhtiyarat ka tanaza hua, jis ke sabab case der se darj hua. Ab mukadma Sonmiani police station mein darj hai. Talaash jaari hai.
Lahore aur qareebi ilaqon mein shadeed zalzale ke jhatkay mehsoos kiye gaye. Kasur, Muridke, Sheikhupura, Gujranwala, Kamunke aur Nankana mein bhi imaratien laraz gayin. Zalzale ki shiddat 4.4 record hui, is ki gehraai 14 km aur markaz Lahore se 25 km janub maghrib mein tha. Log Kalma Tayyaba parhtay hue gharon se bahar nikal aaye. Abhi tak koi nuksan report nahi hua.
Site Area aur Liaquat Chowrangi ke qareeb water tanker se takra kar eik motorcycle sawar halak ho gaya. Law enforcement agencies ne fori karwai karte hue tanker ko qabzay mein le liya. Iske baad police ne mudakhlat karte hue maamlay ki mukammal tahqiqat ko yaqini banaya. Baad mein tanker aur uska driver Site-A thana muntqil kar diya gaya.
British vlogger Lord Miles ke Dubai se chori hue AirPods Punjab Police ne trace karke wapas dilwa diye. Ek Indian shakhs ne chori karke yeh overseas Pakistani ko bech diye, jo Jhelum le aaya. Miles ek saal se apne AirPods track kar rahe thay. Tracking info par Punjab Police ne action liya aur akhirkar AirPods Lord Miles ko wapas mil gaye.
Paresh Rawal ne tasdeeq ki ke woh Hera Pheri 3 mein wapas aa rahe hain, jisse kaafi arsay se chal rahi afwahon ka khatma hua. Pehle kuch ikhtilafat aur legal notice ki khabrein aayi thin, lekin ab sab wazahat ho chuki hai. Kaafi rukaawaton ke baad, project ne akhirkar raftaar pakar hee li.
Hukumat ne Amreeki adalat mein Dr. Aafia Siddiqui case mein qanooni madad aur fariq ban’ne se inkar kar diya hai. Islamabad High Court mein samat ke doran Justice Sardar Ijaz ne wajah poochi, lekin Additional Attorney General ne wazahat kiye baghair sirf yeh bataya ke yeh hukumat ka faisla hai. Adalat ne 4 July tak tafseelat pesh karne ka hukm de diya.
Lahore ke ilaqay Hair mein do doston ke darmiyan dosti tootne par TikTokers ne had se guzar kar apni sabiq dost ke ghar par firing karwa di. Police ne TikToker Suzanne, Nimra aur unke saathi Ahmed ke khilaf FIR darj karli hai. Firing mein koi jani nuksan nahi hua, aur mulziman ki giraftari ke liye koshish jaari hai.
Sindh mein is saal dengue se pehli maut samne aayi hai. 24 saal ka mariz 2 din tak ventilator par raha magar zindagi ki baazi haar gaya. Uske platelets 32,000 tak gir chuke thay. Hospital intazamiyah ke mutabiq sehatmand shakhs ke platelets 150,000 se 450,000 tak hotay hain. Is saal Sehat Department ke mutabiq Sindh mein 295 dengue cases report huay, jin mein 260 Karachi se hain.
Sialkot: Gangal gaon ke qareeb eik choti si bachon ki laraai baray tanaza mein badal gayi. Dono fareeqeen mein firing ka tabadla hua, jismein 25 saala Zaheer aur 40 saala Shoaib halak ho gaye. Waqia Sabzpir Police Station ki hadood mein hua. Police ne moqa-e-wardaat par pohanch kar tahqiqat shuru kar di hain.
Punjab Home Department ne Muharram ke dauran aman-o-amaan barqarar rakhne ke liye Cyber Patrol aur Quick Response Cell qaim kiya hai. Ye cell social media par maslaki, nafrat anghez aur jhooti malomaat ki nigrani ke liye banaya gaya hai. Special Branch ko zimmedari di gayi hai ke woh aise content hataye aur asal source ka pata lagaye.
Aaj 30 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 285.2 PKR, Euro 333.60 PKR, British Pound 392.1 PKR, UAE Dirham 77.95 PKR, Saudi Riyal 76.25 PKR, Kuwaiti Dinar 922.9 PKR, Canadian Dollar 208.1 PKR, Australian Dollar 185.6 PKR, Malaysian Ringgit 66.45 PKR, Swiss Franc 343.9 PKR, Indian Rupee 3.21 PKR.
WhatsApp ne Android users ke liye naya “Scan Document” feature beta version mein introduce kiya hai. Is se users bina kisi third-party app ke directly WhatsApp mein documents scan kar sakenge. Camera se scan karne ke baad preview aur margin adjustment ka option bhi milega. Pehle yeh sirf iPhone users ke liye tha, ab Android par bhi aa raha hai.
Actress aur TV host Nida Yasir ne bataya ke unki Filipino maid, jis par unhein hadd se zyada aitmaad tha, ghar se chori karti rahi. Kyunke wo foreigner thi, is liye laga ke wo chori nahi karegi. Lekin jab euros ghaib hue to shak hua. Unhon ne bataya ke jab wo uske ghar gayin to chori shuda saman ke teen thelay bhare hue thay.
Health Department ke mutabiq, 2025 mein ab tak Sindh bhar mein 65,116 malaria ke case samne aa chuke hain. Malaria ke barhtay khatre ko dekhte hue, tamam zilon ko awareness muhim shuru karne aur safai jari rakhne ka hukm de diya gaya hai, taa keh is ke phelao ko waqt par roka ja sake.
Hukumat ne “Apna Meter, Apni Reading” system launch kiya hai. Yeh app Power Smart ke naam se dastiyab hai. Ab users har mah ek khas date par meter ki tasveer upload kar sakte hain, jiske mutabiq bill banega. Yeh nizaam overbilling, reading ke ghaltiyon aur shikayaton ko kam karne ke liye tayar kiya gaya hai.
Jannat Mirza aur unki behan Sehar ki eik nayi video ne social media par logon ki tawajjo hasil ki, jisme dono bagair kisi filter ke nazar aa rahi hain. Natural chehra camera mein waazeh tha, jo kai users ke liye hairani ka baais bana. Video par social media users ne tanqeed aur mazahiya tabsare kiye.
President Asif Ali Zardari ne Islamabad High Court ke judges ki seniority ka faisla jari kar diya hai. Justice Sarfaraz Dogar ko sabse senior judge qarar diya gaya, jabke Justice Mohsin Akhtar Kayani dosray aur Justice Mian Gul Hassan teesray number par hain. President ne teen High Court judges ko permanently Islamabad High Court transfer kar diya hai.
Aiman Zaman aur Mujtaba Lakhani ke darmiyan alag hone ki afwahein zor pakar gayi hain. Social media par dono ne ek dosre ko unfollow kar diya, jabke Aiman ne shaadi ki tasaveer bhi hata di hain. Fans pareshaan hain aur surat-e-haal par react kar rahe hain. Ab tak talaaq se mutaliq kisi qisam ki tasdeeq ya wazahat saamne nahi aayi.
Balochistan ke Musa Khel aur qaribi ilaqon mein 5.5 magnitude ka zalzala mehsoos kiya gaya. Kuch imaratein gir gayi jisse 3 afraad zakhmi hue. Zakhmiyon ko hospital muntaqil kiya gaya. Zalzale ka aaghaz 28 kilometer gehrai mein hua, jabke uska markaz Musa Khel se 56 kilometer shumal mashriq mein tha. Nuksan ka jaiza liya ja raha hai.
Saudi Airlines ke Jeddah se London jaane wali flight mein duty ke dauran cabin crew manager Mohsen Al-Zahrani ki tabiyat achanak kharab ho gayi. Airline ke mutabiq medical team ne foran madad di, magar wo Cairo pohanchne se pehle hi jaan ki baazi haar gaye. Flight emergency taur par Cairo International Airport divert ki gayi.
Lahore ke Shahdara ilaqay mein eik motorcycle sawar ne 12 saal ke larke ko lift dene ke bahane agwa kar liya. Larka ghar ka saamaan lene nikla tha. CCTV footage mein mulzim ko larke ke sath bike par le jate dekha gaya. Police ne muqadma darj kar ke talaash ka aaghaz kar diya hai.
Agar aap exercise nahi karte tou overeating se parhez zaroori hai. Extra calories jism mein fat ki shakal mein jamti hain, jo weight gain, diabetes, aur heart problems ka sabab ban sakti hain. Har meal ko balance karna aur portion control karna zaroori hai. Bagair physical activity ke zyada khana sehat ke liye khamosh nuqsan hai.
Tiktoker Alina Amir ki nayi video tezi se social media per viral ho rahi hai jismein woh mashhoor dialogue “Woh jo pills khati ho woh kya hain?” par zabardast lip sync karti nazar ayei. Unka confident style aur expressions ne fans ka dil jeet liya. Video ko chand ghanton mein hazaron likes aur shares mil chuke hain.
Bina doctor ke mashware dawa lena khatarnaak ho sakta hai. Har dawa har shakhs ke liye nahi hoti. Agar aapko fever mein koi dawa mili ho, tou iska matlab yeh nahi ke wohi dawa doosre ko bhi di jaye. Har jism mukhtalif hota hai. Ghalat dawa zehr ban sakti hai. Dawa sirf doctor ki hidayat se leni chahiye.
Electric cars petrol ke bagair electricity se chalti hain, environment friendly hoti hain aur unki maintenance bhi kam hoti hai. Petrol cars zyada powerful hain aur lambi drive ke liye zyada suitable hoti hain. Aaj ke daur mein fuel ki mehngai aur pollution ke madde nazar, electric cars behtar aur future-friendly option samjhi ja rahi hain.
Prime Minister Shehbaz Sharif ne faisla kiya hai ke bijli ke bills se PTV fees, jo har mahine Rs.35 li jati thi, ab khatam ki ja rahi hai. Har mahine 42.6 million consumers se 1.5 billion rupay ikattha hote thay. Yeh qadam unhon ne consumers ko relief dene ke liye uthaya.
Tamasha Season 4 jald aanay wala hai aur is martaba show ke darwazai pehli dafa awaam ke liye bhi khulain hai. Sirf celebrities nahi, ab aam log bhi ghar ka hissa banenge. Adnan Siddiqui eik baar phir se host karenge. Show ka format Bigg Boss jaisa hai, jahan logon ko eik hi ghar mein rakha jaye ga.
Karachi mein aaj subha se halki aur darmiyani barish ka silsila jaari hai, jis se mausam khushnuma ho gaya hai. Thandi hawaon aur badalon ki garaj chamak ne sheher ka darja hararat kam kar diya hai. Shehri mausam ka lutf uthane ke liye tafreehi maqamat ka rukh kar rahe hain.
California ke Lake Tahoe mein aik tafreehi safar ke dauran boat ulat gayi. Toofan ke bais kashti palat gayi, jis ke nateejay mein 8 afraad halaak ho gaye. Yeh log birthday manane ke liye aaye thay jab achanak lake mein shadid lehrain uthin aur hadsa pesh aaya.
Lahore ke Akbari Gate ke ilaqay Mohalla Naimat Gran mein Gulman Khan aur Noman ke darmiyan jhagre ke dauran 85 saal ke Dada Muhammad Riaz sulah karwate hue goli lagne se halak ho gaye. Muhammad Riaz samet 3 afraad zakhmi hue. Waqe ke baad dono mulziman moka se farar ho gaye. Police ne eik mulzim ko giraftar kar liya hai.
World Athletics ne javelin throwers ki world rankings jari ki hain. Pakistan ke Olympic gold medalist Arshad Nadeem 1,370 points ke sath chauthay (4) number par hain. Neeraj Chopra 1,445 points ke sath pehle (1), Anderson Peter 1,431 points ke sath doosray (2), aur Julian Weber 1,407 points ke sath teesray (3) number par hain.
Shahdara Town Power House ke qareeb Abbas Nagar mein matti ka single-storey makan gir gaya. Rescue 1122 ke mutabiq chhat girne se do bachay halak ho gaye, jabke Ayesha (9), Hasnain (11), Suleman (6), unke walid Atiq (36) aur walida Summera shadeed zakhmi hue. Rescue 1122 team ne jaan bahaq aur zakhmi afraad ko kareebi hospital muntaqil kiya.
Agar aap Dera Ghazi Khan se hain, pehle 5,000 ka relief mil chuka hai aur BISP mein registered hain, to ab 13,500 rupay aap ke account mein aa chukay hain. CNIC 8171 par bhej kar status check karein. BISP center ya retailer par ja kar asli CNIC dikhayein aur biometric tasdeeq ke baad paisa hasil karein.
Pichlay saal school jate waqt Patel Bagh Quetta se agwa hone wale 10 saala Musawar Kakar ki laash Mastung se baramad ho gayi. Musawar, tajir Haji Raz Muhammad ka beta tha. DNA test se uski tasdeeq hui. Hukumat ne apni nakaami maan li. Police ne 2000 search operations kiye magar koi kaamyabi na mil saki.
Lahore ke eik ghar mein chori ka waqia samne aaya jahan 1 crore 60 lakh rupay aur 40 tolay sona chori hua. Police ne jadeed technology se waqia trace karke 2 mulziman ko giraftar kar liya. Tehqiqaat mein pata chala ke ghar ke malikan ne apne driver ke sath mil kar chori ka plan banaya. Cash, sona aur pistol baramad kar liya gaya.
Indian actor Shefali Jariwala, jo “Kaanta Laga” song aur Bigg Boss 13 se mashhoor hui thin, 42 saal ki umer mein cardiac arrest ki wajah se wafat pa gayin. Unke shohar Parag Tyagi unhe foran hospital le gaye lekin doctors ne unki death confirm kar di. Shefali Nach Baliye aur film “Mujhse Shaadi Karogi” mein bhi nazar aayi thi.
E2 visa un afraad ke liye ek aham qanooni option hai jo America mein apna karobaar shuru karna chahte hain. Is visa ke zariye sirf darkhwast guzar nahi balkay unki poori family yani biwi aur bachay bhi America mein rehaish taleem aur behtar zindagi ke mauqay hasil kar sakte hain.
Mashhoor YouTuber Rajab Butt ke ghar par firing ka waqia pesh aaya. FIR unke bayaan par Thana Chohang mein darj hui. Unka kehna hai ke naamaloom afraad ne goliyaan chalain jo ghar ki deewaron par lagin. Firing se unka kutta bhi goli lagne se mar gaya. Muqadma mein dafaat 440 aur 429 darj ki gayi hain.
Alice in Borderland December 10, 2020 ko Netflix par release hui. Yeh kahani hai Arisu ki, jo apne doston ke saath achanak ek khaali aur ajeeb shehar mein phans jata hai. Bachne ke liye unhein khatarnaak games khelne parte hain. Ab tak is series ke 2 seasons aa chuke hain jo kaafi maqbool huay hain.
Ek mashhoor fitness guru ne haal hi mein cold drink ka sehatmand alternate bataya hai. Unke mutabiq 100 gram sauf, 10 gram kali mirch aur 40 gram misri ko pees kar powder bana lo. Roz ek glass pani mein ek chamach yeh powder, ek lemon aur thora sa kala namak milao. Unka kehna hai ke aapko apne body mein khud farq mehsoos hoga.
Tando Jam ke ilaqay Muzaffar Colony mein ek madrisay ki chhat girne se 2 talib-e-ilm jaan se gaye aur 20 zakhmi ho gaye. Yeh hadsa barish ke baad chhat girne se hua. Rescue team ne talib-e-ilm ko malbay se nikal kar hospital muntqil kiya. Chand zakhmi bachoo ki halat intahai tashweeshnaak hai.
State Bank of Pakistan ne 1 July ko holiday ka elan kiya hai. Notification ke mutabiq Mangal ke din tamaam commercial banks, State Bank aur us ke sub-offices band rahenge. Public dealing kisi bank mein nahi hogi, lekin staff duty par mojood hoga. Peer 30 June ko, jo maali saal ka aakhri din hai, banks mamool ke mutabiq khulayenge.
Online jobs aur offices mein der tak baith kar kaam karne ka rujhan barhta ja raha hai, lekin is lifestyle se log apni fitness ka khayal nahi rakh pate. Musalsal baithne se kamar dard, motapay aur thakan jaise masail samne aate hain. Agar rozana thoda waqt exercise ke liye na nikala gaya to ye masail aur zyada barh sakte hain.
Mahireen ke mutabiq eik glass orange juice banane ke liye 5 se 6 oranges istemal hote hain, lekin juice nikalne se unka fiber zaya ho jata hai. Juice sirf 1.5 minute mein peeya ja sakta hai, jabke 5 se 6 oranges itne kam waqt mein khana mushkil hai. Mahireen ke mutabiq phal khana zyada mufeed aur sehatmand hai.
Central Africa ke ek school mein imtihaan ke doran transformer ke dhamake se afra tafri machi. Dhuwan aur shore se 6,000 students ghabra kar bhaagne lage. Chhota darwaza hone ki wajah se bhagdar machi, 29 bachay halak aur 280 zakhmi ho gaye. Central Africa ke Saddar ne mulk bhar mein qaumi soog ka elan kar diya.
Maryam Nawaz ne E-Bike Scheme 2025 ka aaghaz kar diya hai. 27,000 bikes (10,000 electric, 17,000 petrol) students ko interest free qiston par milengi. Electric bike ki qist Rs 5,000 se 7,000 aur petrol bike ki Rs 3,000 se 5,000 hogi. Aaghaz 1 July se hoga, aakhri tareekh 20 July hai. E-bikes mein GPS, solar charging, helmet aur Lahore-Faisalabad mein larkiyon ke liye free repair workshops bhi shamil hain.
Landhi Sherpao Colony mein mini truck driver ne control khoya aur hotel se takra gaya. Haadsay mein hotel par baitha hua Sheikh Nazir jaan bahaq, jabke Iqbal zakhmi hua. Dono ko hospital muntaqil kar diya gaya. Police ne driver ko giraftar kar liya, truck qabze mein le kar mukadma darj kar diya gaya hai.
Swat mein sair ke liye aaye Sialkot ke 18 afraad ka khandan dariya ke kinare nashta kar raha tha ke pani ka bahaao achanak taiz ho gaya aur sab iski lapait mein aa gaye. Rescue 1122 ke mutabiq 3 afraad zinda nikale gaye, 1 aurat samet 5 laashen mil chuki hain, jabke 9 bachay ab tak laapata hain.
Iran ne U.S. se baat cheet ka imkaan mustarad kar diya hai. Foreign Minister Abbas Araqchi ne kaha ke abhi kisi mulaqat ka plan nahi. Pehle ke paanch round Israel aur America ke Iran ke nuclear facilities par hamlon ke baad rukh gaye. Iran ka kehna hai uska nuclear program sirf civil maqasid ke liye hai.
Phoolnagar ke National Highway par aik khaali 22-wheeler furnace oil tanker Jambar Canal mein gir gaya. Waqia Jumma ke din hua. Ittila milne par Rescue 1122 ki team moqa par pohnchi aur tanker ko Jambar Canal se bahar nikalne ke liye crane ka istemal kiya. Driver cabin mein mojood nahi tha, uski talash jaari hai.
Churi Parah ka rehne wala 7 saal ka Ayaz Siddiqui, Sakhi Pir police station pahunch gaya jab use gali mein khelne se roka gaya. Ayaz ne do khawateen, Rania aur Moni, ke khilaf formal complaint darj karwai. Police ne complaint register karte hue bache ko tasalli dilai ke masla jald hal kiya jayega.
Aaj 27 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 284.85 PKR, Euro 331.75 PKR, British Pound 389.25 PKR, UAE Dirham 77.65 PKR, Saudi Riyal 75.95 PKR, Kuwaiti Dinar 921.1 PKR, Canadian Dollar 206.25 PKR, Australian Dollar 184.5 PKR, Malaysian Ringgit 66.12 PKR, Swiss Franc 343.9 PKR, Indian Rupee 3.16 PKR.
Cigarette chorhne wale afraad ab vape ko “safe” samajh kar har jagah use kar rahe hain. Na jagah ki pabandi, na rok-tok. Air-conditioned rooms mein bhi vape chal raha hai. Magar har second mein liya gaya puff asal mein naya nasha ban chuka hai. Cigarette chhori, lekin kya nayi aadat zyada gehri nahi ban gayi?
Mahireen ka kehna hai ke junk food ka zyada istemal nojawan nasal ki sehat ke liye khatarnaak sabit ho raha hai. Burger, pizza aur cheeni wali drinks motapay aur diabetes ka sabab ban rahe hain. School aur colleges ke students mein energy ki kami aur focus ka tootna aam hota ja raha hai. Healthy ghiza ki taraf rujhan zaroori hai.
Hania Aamir aur Diljit Dosanjh ki film Sardar Ji 3 kal se Pakistan aur duniya bhar ke cinemas mein release ho rahi hai. Hukumat se manzoori milne ke baad film ko censor certificate bhi mil gaya hai. Film ne mukhtalif marahil tay kiye aur ab screen tak pohanch gayi hai. Fans ne advance booking bhi shuru kar di hai.
Squid Game ka Season 3 kal 27 June ko Netflix par release ho raha hai. Fans ka intezar khatam, aur khofnaak khel ek baar phir qayamat dhane ko hai. Is dafa naye challenges, heraan kun twists aur saans rok dene wale lamhe dekhne ko milenge. Teesra season aur bhi zyada thrilling aur intense hoga.
Sindh Police ne apna pehla driving training school, Police Training College Saeedabad mein launch kiya hai, jahan shehrion ko car, bike, light aur heavy vehicles chalane ki training di jaayegi. IG Ghulam Nabi Memon ne road safety ko aham qarar dete hue kaha ke trained drivers hi hadsat rok sakte hain. Hyderabad, Larkana aur Khairpur mein bhi aise schools banenge.
PPSC ne PMS competitive exam 2023 ke results ka elan kar dia hai, jisme 391 candidates kamiyab hue. 21,022 ne written exam diya, 6,513 ne Phase II qualify kiya. Final list ke mutabiq 391 umeedwar pass hue. Unho ne kaha ke Assistant Commissioner banne ke khwahishmandon ka pehle nafsiati jaiza hoga, phir interview ka marhala hoga.
Central Ruet-e-Hilal Committee ne elan kiya ke Moharram 1447 Hijri ka chand nazar aa gaya hai. Chairman Moulana Abdul Khabir Azad ke mutabiq markazi, zonal aur district committees ka ajlaas aik waqt mein hua. Mukhtalif ilaqon se chand dekhne ki shahadatein mili hain. Ashura 6 July, Itwaar ke din hai.
Maharao canal mein nahaate hue teen talib-e-ilm doob kar jaan bahaq ho gaye. Do bhai aur unka cousin teharte hue gahraai mein chale gaye. Rescue team ne laashen nikaal kar hospital pohchaayi. Jaan bahaq hone walon mein 10 saala Rehman, 12 saala Mahmood aur 16 saala Rashid Khasheli shamil hain. Police ke mutabiq teeno Pir Ka Thala, Sanghar ke rehaishi thay.
Mahireen ka kehna hai ke pehle kiraye par reh kar apna business shuru karna zyada behtareen hota hai, kyunke is se maal mein izafa hota hai. Magar shehron mein tez tar kiraye logon ke liye bojh ban chuke hain. Aise mein log samajh nahi pa rahe ke ghar khariden ya pehle karobar mein paisa lagayein
Nazimabad se laapata hone wali 60 saal ki buzurg aurat ki tortured shuda laash Karachi ke Shah Latif Town ke Sector A-21 ki jhaariyon se mili. Marhooma 8 betiyon ki maa thi. Police ne laash ko formalities ke baad warisoon ke hawale kar diya hai. Abhi tak wafat ki wajah ka ta’ayun nahi ho saka, tafteesh jaari hai.
Philadelphia ki sadkon par log zinda laashen banay ghoom rahe hain, jhukay huay, behosh, aankhon mein zindagi ka nishan nahi. Sheher ka manzar kisi horror film se kam nahi. Har taraf afratfri aur khauf ka mahaul hai. Yeh halat aik khatarnaak drug ke istamal ka nateeja hai, jo logon ko bedar aur bejaan halat mein sarko par le aayi hai.
Jamaat-e-Islami ke Emir Hafiz Naeemur Rehman ne mulk bhar mein public committees banane ka elan kiya hai jo awaam ke roz marra ke masail hal karengi. Tanzeemi ijlaas mein ye faisla hua. Unhon ne kaha ke youth ko tarjeeh di jayegi aur committees manshiyat ke istamal ke khilaf awaaz uthayengi.
Modi hukumat ke dauran Bharat mein jinsi juraim mein khofnak izafa hua hai. Har 15 minute mein ek rape report hota hai. Rajasthan mein Fransisi sayyah aur Karnataka mein ijtimai ziadti ke waqia ne India ki global shohrat ko shadeed nuqsan pohanchaya. Adalti nizaam ki susti aur hukoomat ki khamoshi par opposition aur insani huqooq tanzeemen sakht tanqeed kar rahi hain.
PPP ne budget 2025-26 ki himayat ka faisla kiya. Bilawal Bhutto ne tamam members ko Finance Bill ke haq mein vote dene ka hukam diya. BISP ka budget 20% barhaya gaya, solar panel par tax 18% se aadha hua, 10% salary aur 7% pension izafa, Rs100,000 mahana tankhwa tak ke afraad income tax se mustasna, Sindh universities ka budget bhi bahaal.
Prime Minister Shehbaz Sharif ne mutaliqa idaron ko mulk bhar mein smart electricity meters ki tezi se nasb ka hukm diya hai. Unhon ne kaha ke in meters se efficiency aur monitoring mein behtari aayegi. Saal ke aghaz mein, LESCO ne bhi 50 lakh single-phase meters ko smart meters se tabdeel karne ka plan ka elan kiya tha.
Puncture ki dukaan par sote hue Mustaqim ko naamaloom afraad ne chhurion ke waar se qatl kar diya. Waqia North Karachi Sector A4 ke ilaqe mein pesh aaya. Police ke mutabiq Mustaqim ne chand din pehle yeh dukaan lagai thi. Waqia zaati dushmani ka nateeja lagta hai. Laash ko hospital muntakil kar diya gaya hai.
Aaj 26 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 284.85 PKR, Euro 331.75 PKR, British Pound 389.25 PKR, UAE Dirham 77.65 PKR, Saudi Riyal 75.95 PKR, Kuwaiti Dinar 921.1 PKR, Canadian Dollar 206.25 PKR, Australian Dollar 184.5 PKR, Malaysian Ringgit 66.12 PKR, Swiss Franc 343.9 PKR, Indian Rupee 3.16 PKR.
Shadeed garmi aur badalte hue mosam ke hawale se Pakistan mein air condition ab kisi aish o aaraam ka saamaan nahi, balkeh zaroorat ban gai hai. 8 gante AC chalane ka kharcha lagbhag Rs. 37,000 tak pohanch gaya hai jo aik aam employee ki tanakhwa ke barabar hai. Gareeb sochta hai, bachon ko roti khilaye ya thandi hawa
Ghotki ke gaon Rasool Bakhsh Gabol mein aik afsosnak waqia hua jahan 8 saal ki Samina canal mein gir kar doob gayi. Uski maa ne beti ko bachane ke liye canal mein chalang lagai, lekin pani ki shiddat ki wajah se dono doob gaye. Rescue team ne baad mein dono ki laashen canal se nikaalein.
Bohat se log fashion ke chakkar mein aise kapray chun lete hain jo unki styling ko bigaar dete hain, khaaskar fake brands ke bade logos ya sticker wali shirts aur pants. Aise kapray saste aur be-dhangay lagte hain. Fashion experts ka mashwara hai: hamesha plain, solid colour wali shirts aur pants ka intekhab karein, bina kisi logo ya design ke.
Sindh Home Department ne 9 aur 10 Muharram ko poore suube mein double riding par pabandi laga di hai. Notification ke mutabiq is din kisi ko bhi bike par do log sawar honay ki ijaazat nahi hogi. However, 12 saal se chhote bachay, buzurg afraad aur sahafi is hukam se door rakhe gaye hain.
Karachi mein cheeni ki qeemat 3 dinon mein 5 rupay barh gayi hai. Retail market mein cheeni Rs180 aur kuch ilaqon mein Rs190 per kg tak bik rahi hai. Shehri pareshan hain ke cheeni jaisi zaroori cheez bhi mehngi ho gayi hai. Wholesale market mein bhi qeemat barh kar Rs174 per kg tak pohanch gayi hai.
FIA ne Multan, Sahiwal aur Toba Tek Singh se 4 afraad ko human trafficking aur visa fraud mein giraftar kiya. Sabir Ali, Usman Saeed, Basharat Ali ne logon ko abroad jobs ka jhansa de kar lakhon rupay loote. Usman ne 1.45 million, Basharat ne 8.6 lakh, aur Sabir ne 4.8 lakh liye.
Visa apply karne wale afraad ke social media accounts immigration officers ke radar par ho sakte hain. Agar kisi applicant ki posts kisi mulk ke qanoon, tahzeeb ya security policies ke khilaf hon, tou visa reject hone ka imkaan barh jata hai. Mahir kehte hain ke social media activity ab visa decisions ko seedha affect kar sakti hai.
Russia ne eik naya messaging app bananay ka faisla kiya hai jo WhatsApp aur Telegram ka alternative hoga, taake digital sovereignty mazboot ho. Yeh app Gosuslugi jaise government portals se integrated hoga jahan users apni digital ID, documents aur signatures securely store kar sakenge. Russia’s lower house of parliament ne bill pass kiya, ab yeh president ki tasdeeq ka muntazir hai.
Rawalpindi mein, 3 bachon ki zehrila doodh peene se halakat ka muqadma unke walid ke bayan par, maa Zunaira Bibi ke khilaf darj hua. Jhagre ke dauran, Zunaira ne dhamki di thi ke wo bachon ka kuch kar degi. Walid ko shak hai ke usne zeher de kar, ya kisi tareeqay se qatal kiya. Wajah postmortem report ke baad samne aayegi.
Haal hi mein honay wali barsaaton se Rawal Dam aur Khanpur Dam mein pani ka zakhira barh gaya hai. Dono dams ka pani mein takreeban aik foot izafa hua hai. Khanpur Dam ka level 1920 feet aur Rawal Dam ka 1736 feet tak record kiya gaya hai. Aane wale dino mein mazeed barsaaton ka imkaan hai jo zakhair mein izafa karega.
World Bank ne Pakistan ko $194 million ka loan diya hai, jismein $100 million taleemi project ke liye hain jo 250,000 bachon ko faida dega, 5,000 teachers ko training milegi aur 400 larkiyon ko scholarships milengi. Mazeed $94 million ka qarza pani ke nizaam aur kisani ke liye paani ki dastiyabi behtar banane par kharch hoga.
Asian Development Bank ne Pakistan ke liye $350 million ka loan package manzoor kiya. Ye funds khawateen ki entrepreneurship aur economic empowerment ke liye hain. Program ka maqsad unki credit facilities aur financial guarantees tak behtar rasai dena hai. Ye project gender equality ko farogh deta hai aur sustainable economic growth ka hissa hai.
Gaza mein Israeli fauj aur drones ke hamlon mein Tuesday subah se ab tak kam az kam 86 Palestinians shaheed hue, jin mein 56 be ghar afraad thay jo madad lene aaye thay. South Gaza mein 25 log shaheed aur 140 se zyada zakhmi hue, jin mein 62 ki halat nazuk hai. Hamas ke hamlay mein 3 Israeli fauji bhi maray gaye.
Rawalpindi mein teen behan bhai ko blackmailing ke jurm mein giraftar kiya gaya. Pehle behnein masoom larkiyon se dosti karti, phir bhai se milwati. Teeno mil kar zehni jaal mein phansa kar naazeba videos chupke se banate aur phir unhein leak karne ki dhamki de kar paisay talab karte.
Sana Khan ki walida Mrs. Saeeda lambi bimari ke baad inteqal kar gayeen. Sana ne Instagram par is afsosnaak khabar ka izhar karte hue dua ki darkhwast ki. Janaza Oshiwara Qabrasthan mein Isha ke baad ada hoga. Fans is khabar se udasi aur hairani mein mubtala hain. Ek tasveer bhi samne aayi jisme Sana ambulance mein afsurda nazar aayi.
Aaj 25 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 284.75 PKR, Euro 329.5 PKR, British Pound 385.25 PKR, UAE Dirham 77.55 PKR, Saudi Riyal 75.85 PKR, Kuwaiti Dinar 919.3 PKR, Canadian Dollar 205.5 PKR, Australian Dollar 183 PKR, Malaysian Ringgit 66.12 PKR, Swiss Franc 343.9 PKR, Indian Rupee 3.16 PKR.
Omar ne TikToker Star ke qatal ka iqraar kiya. Usne bataya ke pehli baar jab usne Sana se milne ki darkhwast ki to woh pura din uska intezar karta raha, lekin Sana nahi aayi. Baad mein woh uske liye birthday gift laya, jo usne reject kar diya. Baar baar inkaar par Omar ne ghusse mein Sana ka qatal kar diya.
Pakistan ne Lahore, Islamabad aur Karachi airports par e-gates lagane ka faisla kiya hai. E-gates automated system hain jo biometric technology se passenger ki shanakht karte hain aur manual checking ke bagair process complete karte hain. Ye qadam immigration ko asaan banayega aur airport facilities ko international standards ke qareeb le jaayega. Kaam plan ke mutabiq jaari hai.
Pakistan mein iPhone lena har kisi ka khwab hai, lekin bhari PTA tax ki wajah se log non-PTA iPhones lene par majboor ho gaye hain. Jitni phone ki asli qeemat hoti hai, utna hi ya us se zyada tax dena parta hai. Isi liye log bina SIM wale phones sirf WiFi par chalakar kaam chala rahe hain.
Ducky Bhai aur Aroob Jatoi ka hal hi mein China ka safar zabaan ki deewar se takra gaya. Restaurant ka menu sirf Chinese mein tha, sim lenay par larki ka jawab samajh na aaya. Driver se time poocha, lekin koi response nahi mila. Hotel ki condition bhi maayusi ka sabab bani.
Rawalpindi ke ilaqay Raja Sultan mein aik afsosnaak waqia hua jahan zehreela doodh peene se teen bachay jaan se chale gaye. Waqia Bhatha Naik Alam, Thana Banni ki hudood mein pesh aaya. Police ne tahqiqat shuru kar di hain jabke bachon ki walida ko nazuk halat mein hospital muntaqil kar diya gaya hai.
Two-Factor Authentication aapke accounts ko hack hone se bachata hai. Agar kisi ko aapka password mil bhi jaye, toh bina second code ke woh login nahi kar sakta. Apne email, social media aur banking apps mein 2FA enable karein. Yeh code aapko SMS, email ya authentication app ke zariye milta hai
Jo log rozana 8 ghantay ya us se zyada laptop ka istemal karte hain, unki aankhon ki roshni mutasir ho sakti hai. Is se bachne ke liye 20-20-20 rule apnaayein: har 20 minute baad, 20 feet door kisi cheez ko 20 second tak dekhein. Saath hi anti-glare screen use karein aur regular eye check-up zaroor karwaayein.
Pakistan Meteorological Department ke mutabiq 25 June se 1 July tak mulk ke mukhtalif hison mein barishon ka imkaan hai. Sindh, KP, Balochistan, Kashmir aur Gilgit-Baltistan mein tez hawaon ke sath shadeed barish honay ka imkaan hai. NDMA ne urban flooding ka khatra jataya hai aur logon ko billboard, poles aur kamzor deewaron se door rehne ki hidayat di hai.
Kal raat Rabeeca Khan aur Hussain Tareen ne apni Qawali Night aur Mehndi ka event host kiya. Rabeeca ne elegant look se sab ka dil jeet liya. Dono ki tasaveer social media par tezi se viral ho gayi, fans aur followers ne jodi ko bepanah pasand kiya.
Dadu mein Press Club ke bahar musallah shakhs ne achanak firing kar di, jismein sahafi Niaz Chandio aur Rafiq Ahmed zakhmi ho gaye. Police ne foran moqa par pohanch kar jawabii firing ki, jismein mulzim Muhammad Ali Khaskheli halaak ho gaya. Hamlay ki wajah abhi samne nahi aa saki, tahqiqat jaari hain.
Mashhoor Pakistani actor aur director Yasir Nawaz ne Instagram par apne bare bhai Waqar Nawaz ke inteqal ki udasi bhari khabar di. Yasir ne dua ki ke Allah unki maghfirat kare aur Jannat-ul-Firdous mein jagah ata farmaaye. Fans, celebrities aur industry ke logon ne afsos aur taaziyat ka izhar kiya.
Pakistani TikToker Minahil Malik ek baar phir tanqeed ka shikar ban gayi hain, jab unki ek aur private video leak ho kar social media par viral ho gayi. Pehle bhi, SK ke sath talluq khatam hone ke baad, unki kuch clips samne aayi thi. Naye video leak ke baad, logon ki janib se shadeed tanqeed dekhne ko mili.
Philippines mein Tuesday subah 7:28 AM par 6.2 magnitude ka shadid zalzala aaya, jo National Centre for Seismology ke mutabiq Philippine islands ke east mein sirf 10 km gehraai mein waqeh hua. Phivolcs ne magnitude 6.4 report kiya, lekin koi tsunami alert nahi diya gaya.
US President Donald Trump ne kaha ke Iran aur Israel ne mukammal ceasefire par ittefaq kar liya hai. Ceasefire Tuesday subha 0400 GMT se shuru hoga. Pehle Iran hamlay rokeyga, aur 12 ghantay baad Israel bhi apni karwai band karega. Dono taraf se jang khatam karne ka faisla hua hai.
Aaj 24 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 284.75 PKR, Euro 329.5 PKR, British Pound 385.25 PKR, UAE Dirham 77.55 PKR, Saudi Riyal 75.85 PKR, Kuwaiti Dinar 919.3 PKR, Canadian Dollar 205.5 PKR, Australian Dollar 183 PKR, Malaysian Ringgit 66.12 PKR, Swiss Franc 343.9 PKR, Indian Rupee 3.16 PKR.
TikToker Sana Yousaf ke qatl case mein mulzim Umar Hayat ko 3 roz ka jismani remand mukammal hone ke baad adalat ne judicial remand par jail bhej diya. Prosecution ne mazeed remand ki darkhwast nahi di. Mulzim ke lawyers ne walidain se mulaqat na hone par aitraaz kiya.
Ayeza Khan ne aik interview mein kaha ke woh aur Danish Taimoor future mein TV aur social media se door ho kar Switzerland settle hona chahte hain. Is baat ne fans ko heran kar diya. Social media par kisi ne udaasi dikhai toh kisi ne mazaak mein kaha ke abhi chalay jao.
Kamran Murtaza ne Senate mein qarardad pesh ki, jisme Donald Trump ko Nobel P.Prize ke liye nominate karne ke hukoomati faislay ki mukhalfat ki gayi. Unka kehna tha ke Trump ne Iran par hamla kar ke international qawaneen ki khilaf warzi ki aur region mein bechaini phailayi. Unhon ne kaha nominate karne se pehle Parliament se kisi qisam ka mashwara tak nahi liya.
PIA ne Gulf mumalik ke liye apni tamam flights temporary tor par suspend kar di hain. Yeh faisla Iran ke taraf se Qatar mein US base par jawabii hamla ke baad kiya gaya hai. Spokesperson ke mutabiq, flights tab tak band rahengi jab tak surat-e-haal normal nahi ho jaati. Suspend honay walay mulkon mein Qatar, Bahrain, Kuwait aur Dubai shamil hain.
Qatar mein U.S. military bases par huay hamlon ke baad, UAE ne ehtiyati tor par apna airspace band kar diya hai. Ab airspace dheere dheere clear ho raha hai our kai commercial flights alternate routes par divert ki ja rahi hain. Flight Radar par bhi flights ke direction change karne ka manzar dekha gaya.
Diljit Dosanjh ne apni aanay wali film Sardaar Ji 3 ka trailer officially launch kar diya hai, jisme Pakistani actress Hania Aamir bhi aham kirdar ada kar rahi hain. Film 27 June ko release hogi. Hania ki casting par Indian film industry, khas tor par FWICE, ne sakht tanqeed ki hai, magar film ke liye logon ka craze barhta ja raha hai.
Karachi ke ilaqay Defence se influencer aur former model Babra alias Bebo Baloch ko crystal meth (ice) aur cocaine supply karne ke ilzaam mein giraftar kiya gaya. TikToker Babra social media ke zariye DHA aur elite ilaqon ke nojawano ko nasha faraham karti thi. Woh pehle bhi chori ke do muqadmaat mein giraftar ho chuki hai.
Karachi ke Korangi area mein Vita Chowrangi par aik tez raftaar water tanker ne motorbike ko kuchal diya. Hadsa itna shadeed tha ke motorbike sawar ne mouqa par hi dam tor diya. Rescue team mouqa par pohanchi aur laash ko hospital muntakil kiya. Tanker driver ki gafilana driving hadse ka sabab bani.
Panic Room (2002) Ke ek suspense thriller film hai jisme ek maa-beti naye ghar mein shift hoti hain. Pehli raat hi kuch chor ghus jaate hain, jinka nishana ek secret vault hota hai jo panic room ke andar chhupa hai. Maa-beti usi kamre mein chhup jaati hain, aur phir shuru hota hai survival ka dimaag aur himmat se bharpur khel.
Gujranwala ka eik shehri apni biwi ke saath Karachi ja raha tha. Safar ke dauran Jaranwala service area par namaz ke liye rukay. Shohar namaz ke baad gari mein baitha aur 20 km door chala gaya. Kuch der baad ehsaas hua ke biwi service area mein reh gayi hai. Motorway Police se raabta kiya, jiske baad biwi wapas mil gayi.
Nayi nasal ka rujhan ab freelancing ki taraf barhta ja raha hai. Flexible timing, global clients aur apne skills se kamai ka moka usay ek dilchasp aur faida mand pesha bana raha hai. 9 to 5 jobs ab bhi ahmiyat rakhti hain, magar freelancing naye daur ke mutabiq zyada azaadi aur possibilities faraham karti hai.
Pakistan ne Indian flights ke liye airspace ki restriction mazeed aik mahine ke liye barha di hai. Pehli baar yeh pabandi 24 April ko lagayi gayi thi, phir 23 May ko extend hui. Ab tak Indian airlines ko 800 crore rupay se zyada ka nuqsan ho chuka hai, jabke fuel aur stopover costs mein bhi izafa hua hai.
Hukumat-e-Pakistan ne overbilling rokne ke liye manual meter readers khatam karne ka faisla kiya hai (Karachi ke siwa). PM Shehbaz Sharif ne naya digital billing system approve kar diya hai. “Apna Meter Apni Reading” app ke zariye log apni meter reading khud bhej sakenge. Ye app English, Punjabi, Sindhi, Pashto aur Balochi zabano mein use ki ja sakegi.
Pakistan ne 1,275 billion rupay ka loan consumer-friendly sharaait par liya hai taake energy sector ka debt khatam ho. Awam sirf Rs3.23 per unit ka purana surcharge hi ada karenge. Rs683B PHL ke liye aur Rs592B IPPs ke dues chukaye jayenge. Officials ke mutabiq, is se electricity bills mein koi izafa nahi hoga.
Aaj 23 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 283.60 PKR, Euro 326.10 PKR, British Pound 382.10 PKR, UAE Dirham 77.25 PKR, Saudi Riyal 75.60 PKR, Kuwaiti Dinar 916.50 PKR, Canadian Dollar 201.85 PKR, Australian Dollar 180.75 PKR, Chinese Yuan 39.12 PKR, Swiss Franc 344.04 PKR, Indian Rupee 3.18 PKR.
Online shopping ne zindagi asaan bana di hai – ghar baithe har cheez dastiyab hai, time aur effort dono bachte hain. Discounts aur variety bhi zyada milti hai. Lekin is ke nuqsanat bhi hain: fraud, ghalat item milna, late delivery aur asal cheez ka tasveer jaise na niklna. Har sahulat ke saath kuch risk bhi hota hai.
Aam na sirf swad mein lazeez hota hai balkay sehat ke liye bhi bohot mufeed hai. Yeh vitamin A, C aur fiber ka behtareen zariya hai jo immune system ko mazboot banata hai. Aam hazme mein madad karta hai aur skin ko bhi chamakdaar banata hai. Isay “phalon ka badshah” yunhi nahi kehte!
Karachi ke ilaqay Malir aur us ke ird gird zalzale ke jhatke mehsoos kiye gaye. Zalzale ki shiddat 3.8 record hui. Meteorological Department ke mutabiq, iska markaz Malir ke shumal mein 5 km ke faaslay par tha, aur gehraai 10 km zameen ke andar thi. Zalzale Ke Jhatke shaam 6:30 baje mehsoos kiya gaya.
Social media par aik naya trend samne aaya hai jahan log simple paani mein haldi mila kar usay mix hotay hue record kar rahe hain. Log is golden mix ko andhere mein roshni ki madad se dekh kar uski chamak aur rang ka lutf utha rahe hain. Yeh naya aur creative idea logon ki tawajju ka markaz ban gaya hai.
Rabeeca Khan ke Mayun aaj Karachi mein purjosh andaaz mein manai gai. Bright yellow traditional outfit aur floral jewellery mein Rabeeca sab ki tawajju ka markaz rahi. Kal raat dholki hui thi, jabke aaj ki Mayun ceremony ne social media par kafi surkhiyan bator li. Tasaveer aur clips viral hain, fans aur celebrities dono taraf se mubarakbaad mil rahi hai.
Adakara Hania Aamir ne concert ke doran Talha Anjum par bottle phenkne ke waqia par shadeed rad-e-amal diya. Instagram par Hania ne likha ke artist par cheezen phenknay ka amal ghair-insani hai. Aise mahaul mein koi funkaar perform nahi kar sakta. Unhon ne kaha ke artist ko izzat aur tahaffuz dena hamara farz hai, na ke usay nishana banana.
Ostrich duniya ka sabse bara parinda hai, lekin yeh urh nahi sakta. Is ke bawajood, yeh 70 km/h ki raftar se daurr sakta hai, yani aik car jitni tezi se! Aik ostrich ki aankh uske dimaag se bhi badi hoti hai, jo iski behtareen nazar ka raaz hai.
Khuzdar mein naamaloom afraad ke hamlay mein former Chief Minister Naseer Mengal ke khandan ko nishana banaya gaya, jismein unke betay Atta-ur-Rehman Mengal halak aur pota zakhmi. 30 se zyada musallah afraad ne unko nishana banaya. Zakhmi bachay ka ilaaj Khuzdar Civil Hospital mein jaari.
“You” ek dilchasp Netflix series hai. Joe Goldberg aik aisa shaks hai jo pyaar mein deewangi ki had tak chala jata hai, chaahe kisi ki jaan leni ho. Pehli nazar mein woh aik shareef aur seedha insaan lagta hai, lekin andar se ek obsessed killer hai. Har season mein naye sheher, naye log aur dehshat bhari kahaniyaan samne aati hain.
Swat mein syahoon ki kashti ulat gayi, jiske natije mein 9 sayyah jaan ki baazi haar gaye. 4 ki laashein nikaal li gayi hain, jabke 3 laapata syahoon ki talaash jaari hai. 3 syahoon ko maqami logon ne bacha liya aur unhein hospital muntiqil kar diya gaya. Rescue operation jaari hai.
Karachi mai halki barish ne garmi se pareshan logon ko kuch rahat di. Nazimabad, North Nazimabad, New Karachi, Bahadurabad, Shahrah-e-Faisal, Saddar aur Malir mai halki barsaat se mausam suhana ho gaya. PMD ke mutabiq aaj mazeed halki barsaat ka imkaan hai. Hawa 16 km fi ghanta ki raftaar se chal rahi hai aur humidity 80% tak hai.
Sea View ke qareeb dakaiti ke doran firing mein Subash Chand zakhmi hua. Use foran zakhmi halat mein hospital le jaya gaya. Jawabi firing mein kuch dako zakhmi hue jo motorcycle chhor kar samandar ki taraf farar ho gaye. Police zakhmi dako ki talaash mein hai.
Digital Nomad Visa un afraad ke liye hai jo online kaam karte hain. Agar aapki income online hai, chahe aap YouTuber, TikToker, freelancer hain ya koi online business chala rahe hain, tou aap is visa ke liye eligible ho saktay hain. Bohat si countries is waqt remote kaam karne walon ko yeh visa offer kar rahi hain.
Canada ka healthcare system barabari par mabni hai jahan ameer aur ghareeb sab ko muft ilaj ki sahulat faraham ki jati hai. Yeh system duniya ke behtareen nizaamon mein shamil hai. Magar sabse bara challenge waqt par ilaj ka na milna hai—fever jaisi chhoti takleef ke liye 15–20 din aur emergency mein bhi 5–8 ghante intezar aam baat hai.
Mardan ke Pahari ilaqay se 4 afraad ki laashen mili hain. Marne walon mein 3 sarkari mulazim aur 1 maqami shakhs shamil hai. Dilhila dene wale waqia ke baad police ne ilaqay ko gher liya aur saboot ikathtay kiye. Police ke mutabiq laashen Type D Hospital Katlang muntakil ki gayi hain. Post-mortem ke baad mazeed maloomat ka imkaan.
Crypto sirf ameer logon tak mehdood nahi. Aam aadmi bhi har maheena sirf 500 rupay invest karke is safar ka hissa ban sakta hai. Agar aap Bitcoin, Ethereum ya Solana mein har maheene 500 rupay invest karne ki aadat bana lein aur yeh silsila 5 saal tak jari rakhein, tou aap achha munafa kama sakte hain. Sab se zaroori hai sabr, consistency.
Clifton ke ilaqay mein 15 saal tak wafadari ka dikhawa karne wali kaam wali ne malikan ko 5 crore ka chuna laga diya. Chori ke paison se Punjab mein 5 marla aur 7 marla ke 2 plot, 2 gaariyan (jinki maliat 40 se 50 lakh hai), ek ghar aur Defence mein 50 lakh ka flat khareeda. Chori mein uska beta aur uske sathi bhi shamil thay.
Karachi ke ilaqay Liaquatabad mein afsosnak waqia samne aaya hai, jahan miyan biwi ke jhagre ke dauran shauhar ne 10 maheene ke masoom bache ko chulhe par rakh kar jala diya. Police ne mulzim ko giraftar kar liya hai. Shauhar ka kehna hai ke biwi talaaq mangti thi, jis par jhagra hua.
Shahrah-e-Faisal par Saddar ki taraf ja rahi motorbike par zang alooda bijli ka khamba gir gaya. Motorbike sawar khandan hadse ka shikar ho gaya. Shohar mouqa par hi ja bahq, jabke bivi aur 17 saala beti shadeed zakmi ho gayi, jinhein hospital muntqil kar diya gaya.
Wah Cantt ka 38 saala Rashid Mumtaz, 17 June ko Holy Family Hospital mein admit hua, jismein Congo virus ki tasdeeq hui. Usne Eid-ul-Azha par apne cousin Junaid Khan ke sath 4 bakray aur 2 gai ziba kiye. Filhal woh stable aur isolated hai. Do qareebi afraad mein bhi bukhar ke symptoms dekhae gaye hain, PCR reports ka intezar hai.
Hum namaz ke liye thoda late thay. Imam sahab ne salam ke baad dua shuru ki ‘Ya Allah, Waseem bhai ne jo dariyan masjid ke liye di hain, unke agle pichhle gunah maaf farma. Qutbuddin bhai ne jo masjid ka nalka theek karwaya hai, unke walid marhoom ko jannat naseeb farma.’ Bhai, itni politics tou politicians mein bhi nahi hoti!
Gaza mai Israeli fauj ke halia hamlon mai 82 Palestinians jaan bahaq ho gaye, jin mai se bohot se log madad lene ke liye kharay thay. Central, southern aur Gaza City mai airstrikes ne gharo, hujoomon aur aid centers ke qareeb ilako ko nishana banaya.
New Jersey mein media se guftagu ke duran, U S. President Donald Trump ne kaha ke unhein India-Pakistan ke darmiyan ceasefire mein kirdar ada karne par Nobel Peace Prize milna chahiye tha. Unka kehna tha ke mujhe chaar ya paanch dafa milna chahiye tha. Hukumat-e-Pakistan ne President Donald J. Trump ko 2026 Nobel Peace Prize ke liye recommend kar diya hai.
Mashhoor YouTuber Maaz Safder ne Bahria Town ka ghar chor diya hai aur unki family wapas purane flat mein aa gayi hai. Maaz ke abu ka kehna hai, “Ab humein alag hona parega, ek din ye hona hi tha. Is se tum logon ka pyar aur barhega.” Damadas abu ke sath rahega, jabke Shaz aur Maaz alag ho rahe hain.
Netflix par dhamakedar films ne sab ka dhyan kheench liya hai. Aaj ke top 10 trending titles mein JAAT, Hit The Third Case, Sikandar, Straw, K.O., Retro, Titan, Jewel Thief, World War Z aur Deva shamil hain. In films mein action, suspense aur thriller bharpoor hai, jo nayi audience ko attract kar raha hain.
Pakistan mein Gold kai daam musalsal girawat ka shikar rahe. 24 karat gold per tola Rs1,595 sai kam ho kar Rs357,000 per tola ho gaya. 10 gram kai rate Rs1,368 sai gir kar Rs306,069 tak agai. Global market mein bhi $16 ki girawat dekhi gayi aur daam $2,356 per ounce ho gaya.
Pakistan mein aik aur polio case report hua hai jo Shamsi Khel Union Council Bannu se hai, jahan 33 maheenay ka bacha mutasir hua. Is saal mulk bhar mein total 12 cases samne aa chuke hain. NEOC ke mutabiq 97 percent bachon ko polio vaccine di gayi hai, jabke kuch ilaqon mein target 101 percent tak poora hua.
Karachi mein Friday shaam 5:28 per 2.8 magnitude ka zalzala mehsoos kiya gaya, jiska markaz Korangi se 13 km door tha aur gehraai 4 km thi. Log ghabrahat ka shikar hue, magar kisi qisam ka nuksan ya zakhmi honay ki tasdeeq nahi hui. PMD ke data ke mutabiq, 1 June se ab tak Karachi mein 48 chhote zalzale record huay hain.
PTA ne crackdown ke dauran 6.43 million inactive SIMS block kar di hain, jabke 2.989 million SIMS jo wafat yafta afrad ke ID cards par thi aur 69,246 SIMs jo cancel shuda CNICs se linked thi, woh bhi deactivate ki gayi hain. 62 raids mein 72 afraad giraftar huay, 11,470 illegal SIMs aur 193 fake biometric devices baramad hui.
Cybersecurity experts ke mutabiq duniya ka sabse bara data breach samne aya hai jisme Apple, Facebook, Google, GitHub, Telegram aur hukoomati platforms ke 16 billion se zyada login credentials leak hue hain. Yeh data cyber attacks ke liye use ho sakta hai. Experts ne users ko passwords foran change karne aur 2FA enable karne ka mashwara diya hai.
Karachi se afsosnaak khabar hai ke veteran actress Ayesha Khan apne flat se murda paayi gayeen. Unki death ko taqreeban ek hafta guzar chuka tha. Yeh waqi’a Gulshan-e-Iqbal ke ilaqay mein hua. Actor Khaled Anam ne unki wafat ki tasdeeq karte hue dua ki ke Allah unhein jannat mein buland maqam ata farmaye.
Pakistan mein 750 rupay kai prize bond ka agla draw 15 July 2025 ko Rawalpindi mein honay wala hai. Pehla inaam Rs. 1,500,000 ka hai jo ek khush naseeb jeetay ga, jabke doosra inaam Rs. 500,000 teen logon ko milega. Teesra inaam Rs. 9,300 1696 winners ke liye rakha gaya hai. Awam is draw ka besabri se intezar kar rahi hai.
PDMA ke mutabiq Punjab mein aaj shaam se pre-monsoon barishon ka silsila shuru hone ka imkaan hai. Rawalpindi, Murree, Galyat, Lahore, Faisalabad, Sialkot, Multan, Bahawalpur aur doosre shehron mein 23 June tak barish, aandhi aur tez hawaon ka imkaan hai. DG PDMA ke mutabiq barish garmi ki shiddat mein kami laayegi.
Aaj 20 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 283.70 PKR, Euro 324.50 PKR, British Pound 380.10 PKR, UAE Dirham 77.30 PKR, Saudi Riyal 75.60 PKR, Kuwaiti Dinar 914.80 PKR, Canadian Dollar 205.00 PKR, Australian Dollar 182.00 PKR, Chinese Yuan 38.85 PKR, Swiss Franc 335.55 PKR, Indian Rupee 3.19 PKR.
Netflix ne confirm kiya hai ke duniya bhar mein mashhoor Korean series Squid Game ka season 3, 27 June ko release hoga. Is baar kahani aur bhi zyada thrilling hogi, aur games aur bhi dangerous. Fans intezar mein hain ke kya Seong Gi-hun iss dafa game ko khatam karna mai kamiyab ho payega.
Finance Bill 2025-26 ke mutabiq, non-filers ke liye high-end property deals par withholding tax 8% se barhakar 9.5% kar diya gaya hai, jabke Rs100 million se kam ke liye 8.5% aur Rs50 million se kam ke liye 7.5% tax lagu hoga. Yeh qadam IMF ke benchmarks ko pura karne aur tax base ko widen karne ke liye uthaya gaya hai.
K-Electric ne Orangi Town mein crackdown ke dauran 81 illegal connections hata diye jo 290 kg wiring par mushtamil the. In connections ki wajah se saalana 157,000 units ka nuksan ho raha tha. Ilaqay par PKR 1.6 billion se zyada ke dues hain. Operation ka maqsad bijli chori rok kar system ko behtar banana hai.
Aaj kal subah ice facial aik popular beauty trend ban gaya hai, jo Instagram par bohat mashhoor hai. Yeh chehre ki puffiness aur redness kuch waqt ke liye kam karta hai. Magar rozana karne se skin dehydrated ho sakti hai, aur natural moisture khatam ho jata hai. Yeh sirf temporary relief deta hai.
Hukumat ne cheeni ki artificial mehngai rokne ke liye nationwide crackdown ka faisla kiya hai. PM Shehbaz ne FIA, IB, FBR aur SBP ko hoarders aur cartel ke khilaf sakht action ka hukm diya hai. 250,000 ton raw aur 500,000 ton refined cheeni import ki manzoori di gayi hai taake supply aur qeemat control mein rahein.
Asim Azhar aur Merub Ali ke breakup ki afwaahon ke baad, Merub ne ek cryptic Insta story share ki: “Someone asked me, ‘Will you not tell me your side’s story?’ I replied, ‘Allah knows, that is enough.’” Dono ne breakup confirm nahi kiya, lekin social media distance aur ek dosray se doori ne fans ko andaza dilaya ke unka rishta khamoshi se khatam ho chuka hai.
Aaj kal smartphones mein 1 se 1.5 saal baad screen par green line ka masla aam samjha ja raha hai. Awaam ka kehna hai ke aik martaba ye issue ajaye to screen replacement ke bawajood dobara paish aa sakta hai. Naya phone khareedne se pehle dekhna zaroori hai ke kya us model mein pehle ye masla report hua hai.
Karachi mai Congo virus ki wajah se ek aur afsosnaak maut report hui hai. 26 saal ka Ibrahim Hyderi shadeed bukhar aur andarooni bleeding ke symptoms ke sath laya gaya. Doctor Abdul Waheed ke mutabiq, Congo virus ki tasdeeq hui. Ye chand hafton mai doosri confirmed death hai. Mahkma sehat ne awaam ko hidayat di hai ke janwaron se ehtiyaat karein aur khatre wali jagahon se door rahain.
Cambridge ne tasdeeq ki ke June 2025 ke exams se pehle 3 papers partial leak hue Maths Paper 12, Paper 42 aur Computer Science Paper 22. Poora paper leak nahi hua. Paise le kar jali papers bechnay ki koshish hui. Students ke marks fair tareeqay se diye jayenge. Cambridge ne students ke stress par afsos ka izhar bhi kiya.
Australia ki Big Bash League mein Pakistani players ko franchises ne select kiya hai. Shaheen, Rizwan, Haris, aur Shadab Platinum category mein hain. Babar Azam ne Sydney Sixers se 10 crore rupay ki pre-sign deal ki hai. Hasan Ali, Hassan Khan bhi shaamil hain. Yeh BBL season Pakistani players ki sab se zyada shirkat ka hissa ban gaya hai.
Aaj 19 June 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: American Dollar 283.7, Euro 324.5, British Pound 380.1, UAE Dirham 77.3, Saudi Riyal 75.6, Kuwaiti Dinar 914.8, Canadian Dollar 205, Australian Dollar 182, Omani Riyal 734.95, Japanese Yen 1.93, Chinese Yuan 38.85, aur Indian Rupee 3.19 rupay ka hai.