“Zindagi Behtar Hoti Hai Jab Aap Khush Hote Hain… Lekin Yeh Tab Behtareen Ban Jati Hai Jab Aap Ki Wajah Se Doosre Khush Hon.” Reema Khan

Reema Khan ne zindagi aur khushiyan baantne ke hawale se aik bohot hi pyara paigham share kiya hai. Unhon ne farmaya ke zindagi tab behtar hoti hai jab aap khush hote hain, lekin yeh tab behtareen ban jati hai jab aap ki wajah se doosre khush hon. Saath hi unhon ne sab ke liye Allah ke karam ki dua bhi ki.
“Abhi Sirf Nikah Hua Hai, Rukhsati November Mein Hogi!”: Adakara Momina Iqbal Ki Behen Rimsha Ka Shadi Ki Rasmaat Aur Saqib Chadhar Ki ‘AI Videos’ Ki Dhamkiyon Par Bara Inkishaf

Rimsha Iqbal ne momina ki shadi ki haqeeqat se parda uthaya hai. Unhon ne bataya ke abhi sirf Nikkah ki rasmaat hui hain, jabke Momina ki Rukhsati November ya December mein hogi. Rimsha ne yeh bhi wazahat ki ke Saqib Chadhar ke paas koi asli videos nahi hain, balkay woh sirf AI videos bana kar viral karne ki dhamkiyan de raha tha.
“Mein Koi Robot Nahi Hoon Jo Asar Na Ho!”: Waalid Ke Kidnapping Scandal Aur Saba Qamar Par Bayan Ke Baad Hone Wali Social Media Trolling Par Hijab Khalil Ka Sakht Rad-E-Amal

Hijab Khalil ne social media trolling par khamoshi tor di hai. Unhon ne bataya ke un ke waalid ke kidnapping scandal aur adakara Saba Qamar ke libas par diye gaye bayan ke baad logon ne unhein buri tarah cyberbully kiya. Hijab ne kaha ke log un ke Western kapdon par unhein tana dete thay, jis se unhein bohot dukh pohuncha.
“Achanak Hijab Kahan Gaya?”: Syeda Aliza Sultan Ka Hijab Ke Baghair Video Share Karne Par Netizens Ka Sakht Radd-E-Amal, Social Media Par Chhiri Behas.

Aliza Sultan ko social media par hijab hatane par kadi tanqeed ka samna hai. Aliza, jo aam taur par hijab mein decent content share karne ke liye jaani jati hain, haal hi mein hijab ke baghair aik reel post ki. Is tabdeeli ne un ke fans ko hairan kar diya hai aur log unse narazgi ka izhaar kar rahe hain.
“Public Maqamaat Par Short Dresses Par Ban Lagayein!”: CM Maryam Nawaz Se Guzarish Karne Par Gulukaar Falak Shabir Awami Tanqeed Ki Zad Mein

Falak Shabir ne Punjab hukumat ki taraf se vape pods par pabandi ko appreciate karte hue Maryam Nawaz se public places par khawateen ke ‘short dresses’ par bhi ban lagane ki guzarish ki hai. Unke is bayan par unhein sakht tanqeed ka samna hai aur un ke London shift hone aur khud showbiz se wabasta hone par sawalat uth rahe hain.
Momina Iqbal Case Mein Naya Mor: Saqib Chadhar Ka Adakara Par Blackmailing Aur 83 Lakh Rupay Batorne Ke Sangeen Ilzamaat! Momina Ki Behen Ki University Fees Ada Karne Ka Bhi Dawa, NCCIA Mein Bayan Jama.

Momina Iqbal aur Saqib Chadhar ke qanooni larai mazeed barh gayi hai. Saqib Chadhar ne NCCIA mein bayan jama karwaya hai jis mein unhon ne dawa kiya hai ke unhon ne Momina ki behen Rimsha ki university fees ke liye 13,000 Australian Dollars diye aur blackmailing ki wajah se 83 lakh rupay transfer kiye.
“Aisi Aurat Bano Jis Ki Jeb Mein Paisa Aur Lehjay Mein Roob Ho”: Adakara Sana Javed Ka Larkiyon Ke Liye Message

Adakara Sana Javed ne apne Instagram account par khawateen ke liye aik sabaq aamoz paigham share kiya hai. Unhon ne larkiyon ko advice di ke woh aisi aurat banein jis ki jeb mein paisa, lehjay mein roob, dil mein reham aur dimaag shatir ho. Unhon ne khuddari, khauf-e-khuda aur aitmad par zor diya.
“Eid Par Release Hone Wali ‘Zombeid’ Flop Ho Chuki Hai!”: Journalist Naeem Hanif Ka Film ‘Zombeid’ Par Bara Inkishaaf

Naeem Hanif ne film ‘Zombeid’ ki kamyabi ko jhoota qarar de diya hai. Unhon ne dawa kiya ke Eid par release hone wali yeh film flop ho chuki hai aur Eid ke teesre chauthe din is ke do tickets bhi nahi bik rahe thay. Unhon ne film makers par na-ahli aur ghalat kamyabi dikhane par kadi tanqeed ki.
Farah Yousaf Ki Hajj Se Wapsi Par Aroosa Iqrar Ka Shandaar Surprise!: Airport Par Phoolon Se istaqbaal, Iqrar-Ul-Hassan Ki Bhi Vlog Mein Achanak Shamil

Farah Hassan saal 2026 mein Hajj ki saadat hasil karne ke baad watan wapas laut aayi hain. Watan wapsi par unhein Iqrar-ul-Hassan ki teesri biwi aur un ki dost Aroosa Iqrar ne airport par phoolon aur haron ke sath aik khoobsurat surprise diya. Is mauqay par khud Iqrar-ul-Hassan bhi wahan pahuche aur unhein mubarakbaad di.
“Shadi Par Kuch Log Bawlay Hi Hojate Hain!”: Fiza Ali Aur Momina Iqbal Par Writer Saima Akram Chaudhry Ka Sakht Bayan

Saima Akram Chaudhry ne Fiza Ali aur Momina Iqbal ki un ke husbands ke sath viral hone wali videos aur ‘show off’ karne par kadi tanqeed ki hai. Unhon ne social media par likha ke shadiyan sab ki hoti hain magar kuch log is par bilkul bawlay (crazy) ho jate hain. Is bayan par netizens do groups mein taqsaem ho gaye hain.