“Kya Yeh Hain Pakistani Larkon Ki Nayi Social Media Crush?”: Internet Par Viral Hone Wali Khatoon Ki Haqeeqat Jaanne Ke Liye Fans Be-Chain

Social media par aik nayi video tezi se viral ho rahi hai jis mein nazar aane wali khatoon Pakistani larkon ki nayi social media crush ban gayi hain. Har taraf unhi ke charche hain ab har koi besabri se yeh janna chahta hai ke aakhir yeh khatoon asal mein hain kaun.
“Barsi Par Insaaf Ki Jung Jaari!”: Aamir Liaquat Hussain Ki 4th Death Anniversary Par Dr. Bushra Iqbal Ka Court Case Aur Trial Ke Hawale Se Naya Bayan Viral

Aamir Liaquat Hussain ki 4th death anniversary par Dr. Bushra Iqbal ne court case ke hawale se nayi update share ki hai. Unhon ne bataya ke Dania Malik ke khilaaf trial abhi jari hai aur witness statements record kiye ja rahe hain. Bushra Iqbal ne Aamir Liaquat ke insaaf aur maghfirat ke liye duaon ki darkhwast bhi ki hai.
“Maafi Sirf Un-Jaane Mein Hui Ghaltiyon Ki Hoti Hai, Dil Dukhane Ka Nateeja Makafat-E-Amal Ki Soorat Mein Bhugatna Parta Hai” Adakara Momina Iqbal

Maroof adakara Momina Iqbal ka aik bayan social media par share kiya gaya hai, jis mein unhon ne dil dukhane ke hawale se baat ki hai. Momina Iqbal ka manna hai ke maafi sirf un baaton ya ghaltiyon ki hoti hai jo un-jaane mein ho jayein, jabke kisi ka dil dukhane ka nateeja hamesha ‘Makafat-e-Amal’ (karma) ki soorat mein bhugatna parta hai.
“Jo Kuch Kisi Ki Beti Ke Saath Kiya Woh Karma Ban Kar Waapas Aaye Ga!”: Alizeh Shah Ka Sarah Khan Aur Falak Shabir Par Manipulation Aur Waada Khilaafi Ke Naye Sangeen Ilzaam Viral

Alizeh Shah ne Sarah Khan aur Falak Shabir par mazeed ilzamaat lagaye. Alizeh ka kehna hai ke 6 saal pehle unhein teenager hone par manipulate kiya gaya aur Sarah Khan ne khud un ka wardrobe design kiya tha. Unhon ne mazeed kaha ke kam budget par kaam karwane ke baad un se kiye gaye waade poore nahi kiye gaye.
“Aik Hi Ghalat Faisla Kiya Jis Ki Wajah Se Aaj Kal Takleef Mein Hon!”: Dr. Nabiha Ali Khan Ka Apni Shadi Aur Mohabbat Par Afsos Ka Izhaar

Dr. Nabiha ne aik podcast mein inkishaf kiya hai ke shadi un ki zindagi ka sab se bura faisla tha. Unhon ne bataya ke woh aaj kal apnay aik galat faisle ki wajah se takleef utha rahi hain. Dr. Nabiha ne mazeed kaha ke jis shakhs se aap muhabbat karte hain, woh aap ko be-qadar mehsoos karwata hai.
“Aaj Kal Ke Zamane Mein Aurat Ki Ghar Mein Financial Contribution Bohat Zaroori Hai”: Maroof Adakara Bushra Ansari Ka Khawateen Ki Maali Azadi Aur Ikhtiyar Par Sabaq-Amoz Bayan Viral

Bushra Ansari ka manna hai ke aaj kal ke mushkil halat mein khawateen ka financial contribution ghar chalane ke liye bohot zaroori ho chuka hai. Unhon ne bataya ke barhte akhrajaat ki wajah se aik aamdani par guzara mushkil hai. Working women na sirf maali istehkam lati hain balkay un mein khud-etimadi aur azadi bhi paida hoti hai.
“Shan-E-Ramzan Ki Yaadein Taza!”: Gilgit-Baltistan Mein Waseem Badami Ki Nanne YouTubers Shiraz Aur Muskan Se Ghar Par Mulaqaat

Waseem Badami ne Gilgit-Baltistan mein maroof chote YouTubers Shiraz aur Muskan se un ke home town mein mulaqaat ki hai. Waseem Badami wahan election campaign ke silsile mein mojood hain. Ramadan transmission ke zariye paida hone wale is pyare rishte ki is reunion video ko internet par fans behad pasand kar rahe hain.
“Jannat Mein Bhi Sukoon Se Phone Use Karne Kahan Dengi Aap!”: Iqra Aziz Ki Annual Vacations Wali Post Par Yasir Hussain Ka Hilarious Jawab

Iqra Aziz ne Instagram par post share ki jis mein likha tha ke jo shohar apni bewiyon ko har saal vacations par le jate hain, unhein jannat mein AC aur free Wi-Fi mile ga. Is par Yasir Hussain ne likha ke wahan bhi Wi-Fi ka kya karein ge, kyun ke Iqra unhein sukoon se baith kar phone chalane hi nahi dein gi.
“Come Back As A Family Of Three!”: Ushna Shah Ki Vienna Rawangi Se Pehle Dost Sonya Hussyn Ka Khala Banne Ki Khushi Aur Muhabbat Bhara Paigham Viral

Sonya Hussyn ne Ushna Shah ke liye social media par post share ki hai. Ushna Shah, jo apnay pehle bache ki umeed se hain, haal hi mein Pakistan se Vienna rawana hui hain. Sonya Hussyn ne unhein alvida kehte hue likha ke ‘Khala’ abhi se din gin rahi hai aur woh bache ko goud mein lene ke liye behad excited hain.
“Mera Pichla Bayan Kisi Aik Gender Ke Baare Mein Nahi Tha!”: Khawateen Ke Libaas Par Tanqeed Ke Baad Falak Shabir Ki Social Media Par Nayi Wazahat Viral

Falak Shabir ne apnay pichlay bayan par wazahat pesh karte hue kaha hai ke un ki baatein kisi aik gender ke baare mein nahi thin. Unhon bataya ke un ka bayan aik general observation tha jo sab par laagu hota hai. Falak ka kehna hai ke agar logon ne is ka ghalat matlab nikala to yeh un ka apna nazriya hai.