Shagufta Ejaz ne social media par aik sabaq-amoz aur khubsoorat paigham share kiya hai. Unhon ne bataya ke doosron mein khoobiyan dhoondna khud aik khoobi hai, jabke musalsal doosron mein aeb ya khamiyaan nikalna khud aik bohot bara aeb hai. Unhon ne logon ko naram-mizaji, tareef aur positivity apnanay ka mashwara diya.