Alizeh Shah ne Falak Shabir ko be-naqab kardiya. Falak ne Punjab ki CM se khawateen ke chote kapron par pabandi ka mutalba kiya tha. Alizeh Shah ne inkishaf kiya ke un ke sath song ‘Yaadan’ karte waqt Falak ne unhein zabardasti chote kapray pehnaaye thay, jinhein un ki bewi Sarah Khan ne khud style kiya tha.