“Dunya Tamasha Dekhne Mein Mahir Hai” Hira Mani Ka Zindagi Ki Talkh Haqeeqat Par Bayan

Hira Mani ne social media par gehri baat share karte hue kaha ke dunya tamasha dekhne aur banane mein mahir hai. Unhon ne fans ko mashwara diya ke “Jab bhi tootna akele mein tootna,” kyunke log dard baantne ke bajaye uska mazaq urate hain. Hira ki is post ne fans ko zindagi ki talkh haqeeqat par sochne par majboor kar diya hai.
“Social Media Par Frustrated Aunties Baithi Hain” Nida Yasir Ka Trolling Karne Walon Ko Karara Jawab

Mashhoor host Nida Yasir ne unhein troll karne walon ko “frustrated aunties” keh diya hai. Nida ka kehna hai ke ye log kaam ke bajaye unki umar aur looks par ghalat comments karte hain kyun ke wo apni zindagi se khush nahi hain. Unhon ne saaf kaha ke makhsoos log sirf celebrities ki burai karne ke liye social media par baithay hain.
“Aisi Aurton Ko Nishan-E-Ibrat Banana Chahiye” Ali Zafar Ki Jeet Par Iqrar-ul-Hassan Ka Meesha Shafi Ke Khilaaf Sakht Bayan

Iqrar-ul-Hassan ne Ali Zafar ko Meesha Shafi ke khilaaf case jeetne par mubarakbaad dii. Unhon ne kaha ke aise jhootay ilzamaat asli victims ka nuqsan karte hain aur Meesha par lagaya gaya 50 lakh ka jurmana bohat kam hai. Iqrar ke mutabiq aisi aurton ko “nishan-e-ibrat” banana chahiye taake koi kisi shareef aadmi par jhoota ilzaam lagane ki himmat na kare.
“Rabeeca Khan Aur Hussain Tareen Ki Umrah Adaygi” Khana-E-Kaaba Se Share Ki Gayi Tasaveer Social Media Par Viral

Mashhoor digital stars Rabeeca Khan aur Hussain Tareen ne khush qismati ke saath Umrah ada kar liya. Dono ne Khana-e-Kaaba se apni tasaveer aur safar ke lamhaat fans ke saath share kiye. Social media par unke is roohani safar ko saraha ja raha hai aur fans unhein mubarakbaad de rahe hain.
“Nida Yasir Ka Dhaniya Wala Sawal Viral” Morning Show Queen Aik Baar Phir Social Media Par Trolling Ka Shikaar

Nida Yasir apne naye sawal ki wajah se aik baar phir viral hogayi. Gardening ke segment mein adakaara Fazila Qazi ne jab dhaniya mehfooz rakhne ka zikr kiya, to Nida ne hairat se pooch liya ke “Kya dhaniya dabbe mein bhi ugta rehta hai?” Is sawal par social media sarfeen unka mazaq ura rahe hain aur dilchasp comments kar rahe hain.
Haan Main Attention Seeker Hoon: Faisal Rehman

Faisal Rehman ne aitraaf kiya hai ke wo “attention seeker” hain, Unhon ne bataya ke unki shirtless aur dancing videos sochi samjhi planning ka hissa hain taake log unhein dekhein. Faisal ka kehna hai ke har actor tawajjo ka bhooka hota hai aur Quaid-e-Azam se milne wala unka purana bayan bhi sirf mazaq aur viral hone ke liye tha.
“Firdous Jamal Hamari Society Ke Jeffrey Epstein Hain” Tamkenat Mansoor

Tamkenat Mansoor ne Firdous Jamal ke bayan par sakht rad-e-amal dete hue unhe “Pakistani Epstein” qarar de diya hai. Tamkenat ka kehna hai ke teenage larkiyon ko mardon ke liye “pur-kashish” kehna darasal ghalat zehniyat hai. Unhon ne walidain ko hoshyaar rehne ka mashwara dete hue kaha ke aisay logon ko foran rokna chahiye jo bachiyon ke liye khatra ban sakte hain.
“Bete Ki Khatir Jhuk Jao” Dr. Nabiha Ali Khan Ka Emaan Rajab Ko Rajab Butt Se Sulah Karne Ka Mashwara

Dr. Nabiha Ali ne Emaan Rajab aur Rajab Butt ki divorce par compromise ka mashwara diya. Unhon ne kaha ke 30 se 32 saal ke mardon ko control karna mushkil hota hai, isliye apne bete Kivan ki khatir Emaan ko jhuk jana chahiye. Dr. Nabiha ke mutabiq mardon ko unki azadi deni chahiye taake rishta tootne se bach sake.
“Iffat Omar Ki Beti Ka Shandaar Valima” Mariyum Aurangzeb Ki Shirkat

Adakaara Iffat Omar ki beti ke valime mein Mariyum Aurangzeb ne shirkat kar ke sab ko heran kar diya. Is star-studded event mein Mariyum ne dulhan aur dulhay ke saath tasaveer banwaein aur unhe shadi ki mubarakbaad di. Siyasat aur entertainment ka ye milaap social media par khoob viral ho raha hai aur fans in tasaveer ko pasand kar rahe hain.
“Dunya Sirf Tamasha Dekhti Hai” Kanwal Aftab Ka Sehar Hayat Ko Apni Divorce Ki Tafseelat Public Na Karne Ka Mashwara

Kanwal Aftab ne Sehar Hayat aur Sami Rasheed ki larai par Sehar ko khamoshi ikhtiyar karne ka mashwara diya. Kanwal ka kehna hai ke apni takleef dunya ko batane ke bajaye sirf Allah se share karein, kyunke dunya sirf mazaq urati hai. Unhon ne Sehar ko apne niji mamlaat private rakhne ki salah di hai taake wo mazeed tanqeed se bach sakein.