“Zindagi Mein Shadi Nahi Karunga Magar Baap Banna Chahta Hoon”: Salman Khan

Bollywood superstar Salman Khan ne aik bayan mein share kiya hai ke agarchay unka shadi karne ka koi irada nahi hai, magar woh zindagi mein kabhi baap zaroor banna chahte hain. Unke is bayan ne internet par fans ki tawajjoh apni taraf khinch li hai aur log khandaan aur rishton ke hawale se tarah tarah ki guftagu kar rahe hain.

Mizna Waqas Ka Adakaron Ki Kharab Hygiene Par Inkishaf

Mizna Waqas ne aik podcast mein adakaron ki kharab hygiene ka parda fash kiya hai. Unhon ne bataya ke kuch stars apne baal aur makeup par to bohot zoor dete hain, magar unke moun se aisi badbu aati hai ke samne wala behosh ho jaye. Unhon ne kaha ke aisi styling ka kya faida jab aap aam ahtiyaat bhi na karein.