Senior adakara Saba Faisal ne aik hairan-kun khulasa karte hue bataya hai ke unhein aaj bhi 22 saal ke jawan larkon ki taraf se shadi ke rishtay aate hain. Unhon ne kaha ke ye larkay un ke liye apni poori zindagi badalne ko tayyar hain. Is khulase ne social media par dhoom macha di hai.