Maroof singer aur adakar Ali Zafar 20 saal baad TV drame mein wapsi kar rahe hain. Wo Saqlain Abbas ke likhe naye drama ‘Lahu’ mein Sajal Aly aur Bilal Abbas Khan ke sath ahem kirdar mein nazar aayenge. Unki wapsi ki khabar sun kar fans behad khush hain aur unka shandaar istaqbal kar rahe hain.