Indian actor Karan Wahi ne Pakistani adakara Kinza Hashmi ki behad tareef ki hai. Unhon ne bataya ke Kinza sarhad paar unki sab se pasandida adakara hain aur wo un sab se acchi aur pyari insaan hain jinhein wo jaante hain. Karan ke is bayan ne dono taraf ke fans ka dil jeet liya hai