Nida Yasir Ne Bataya Ke Woh Apni Beti Ke Liye Shohar Ka Intikhab Kis Tarah Karengi

Nida Yasir ne bataya ke woh apni beti ko itni samajh aur aitmaad dena chahti hain ke woh khud apne liye behtareen humsafar ka intekhab kar sake. Unhon ne kaha ke woh beti ki pasand ka ehtram karengi aur us par aitraaz nahi karengi. Nida ke mutabiq, behtar tarbiyat aur duniya ka tajurba bachon ko sahi faisla karne mein madad deta hai.

Emmad Irfani Ne Fahad Mustafa Ki Be-Misaal Shohrat Par Baat Ki

Emmad Irfani ne Fahad Mustafa ki stardom ko le kar apna tajurba share kiya. Unhon ne bataya ke ‘Kabhi Main Kabhi Tum’ ki shooting ke doran Central Jail Karachi mein har kuch minute baad officers Fahad Mustafa se milne aate thay. Qaidi bhi un ke fan thay aur unhein bohat pasand karte thay.

Jis Cheez Ko Taqseem Karoge Uski Farawaani Ho Jaayegi!: Sami Khan

Maroof adakar Sami Khan ne social media par zindagi ka aik bohot pyara usool share kiya hai. Unhon ne bataya ke qudrat ka aik qanoon hai ke aap jis cheez ko logon mein taqseem karte hain, wahi cheez aap ke paas barh jati hai phir chahe woh daulat ho, izzat, ilm, muhabbat, darguzar karna ho.