Kya Neelam Muneer Apne Pehle Bachay Ki Muntazir Hain? Fans Duaon Mein Busy

Maroof adakara Neelam Muneer shadi ke baad Dubai munatqil hogayi thi aur ab un ke haan pehle bachay ki amad ki khabrein gardish kar rahi hain. Aik recent event mein royal blue rang ke libas mein un ke hulyay ko dekh kar fans ne yeh andaza lagaya ke woh expecting hain. Or duain karna shuru kardi

Nida Yasir Ne Bataya Ke Woh Apni Beti Ke Liye Shohar Ka Intikhab Kis Tarah Karengi

Nida Yasir ne bataya ke woh apni beti ko itni samajh aur aitmaad dena chahti hain ke woh khud apne liye behtareen humsafar ka intekhab kar sake. Unhon ne kaha ke woh beti ki pasand ka ehtram karengi aur us par aitraaz nahi karengi. Nida ke mutabiq, behtar tarbiyat aur duniya ka tajurba bachon ko sahi faisla karne mein madad deta hai.

Emmad Irfani Ne Fahad Mustafa Ki Be-Misaal Shohrat Par Baat Ki

Emmad Irfani ne Fahad Mustafa ki stardom ko le kar apna tajurba share kiya. Unhon ne bataya ke ‘Kabhi Main Kabhi Tum’ ki shooting ke doran Central Jail Karachi mein har kuch minute baad officers Fahad Mustafa se milne aate thay. Qaidi bhi un ke fan thay aur unhein bohat pasand karte thay.