Yumna Zaidi ne aurton, naujawan larkiyon aur bachon ke khilaaf samne aane wali dil dehla dene wali khabron par gehre dukh ka izhar kiya. Unhon ne kaha ke in waqiat ne unki rozmarra zindagi ko mutasir kar diya hai. Yumna ne tamam mutasireen ke liye insaf aur aman ki dua karte hue aise waqiat ke khatmay ki umeed zahir ki.