“Imad Wasim Apne Bachon Ka Kharcha Nahi Utha Rahe!” Sannia Ashfaq

Sannia Ashfaq ne ilzaam lagaya hai ke Imad Wasim apne bacho ki koi financial madad nahi kar rahe aur na hi unse milne aate hain. Unhon ne bataya ke Imad ne apne bete ko sirf aik baar dekha hai. Sannia ke mutabiq, Imad ki dusri biwi ne unka number block karwa diya hai taake wo apne bacho se door rahein.

Deedar Ka Resham Se Mafi Mangne Se Saaf Inkar

Adakara Deedar ne Resham se mafi mangne se inkar karte hue naye ilzamat laga diye hain. Uzma Bukhari ki sulah ki koshishon ke bawajood Deedar ne kaha ke unse koi zabardasti mafi nahi mangwa sakta. Unhon ne Resham ke purane din yaad dilate hue unhen mazeed “expose” karne ka dawa kiya hai.

Mujhe Humayun Saeed Ke Saath Kaam Karne Mein Mushkil Hoti Hai!: Jia Ali

Former actress Jia Ali ne inkishaf kiya hai ke wo Humayun Saeed ke sath kaam karte hue “uncomfortable” mehsoos karti hain. Unhon ne kaha ke Humayun aik baray adakar aur ache insan hain, magar unke sath kaam karna unke liye mushkil hai. Jia ne mazeed kaha ke unhen Mahira Khan ki maa ka role karne mein koi aitraaz nahi.