Atif Aslam Ka Musiqi Ke Safar Par Inkishaaf: ‘Maine Khud Ko Dobaara Dhoondhne Ke Liye Zero Se Shuruaat Ki’

Maroof singer Atif Aslam ne 25 saal baad apne musiqi ke shauq se dobara judne ka inkishaf kiya hai. Unhon ne bataya ke unhe aik artist ke tor par khud ko dhoondne ke liye dobara zero se shuruaat karni parhi. Atif ne apni aane wali album Subah Aye Na ko apna sab se shakhsi kaam qarar diya hai.
Dananeer Mobeen Ki Ham-Shakal Nayi Adakaara Viral: Drama Main Tera Main Shabahat Par Social Media Par Charchay

ARY Digital ke drama Main Tera Main behen ka kirdar adaa karne wali nayi adakaara Dananeer Mobeen se hairan-kun humshakal hone ki wajah se viral ho gayi hain. In dono actress ka apas mein koi rishta nahi hai, lekin is humshakli ne social media par kafi dhoom aur tajaassus paida kar diya hai.
Fahad Mustafa Aur Mahira Khan Ki Film ‘Agg Lagi Basti Main’ Ka Tareekhi Record: Dunyabhar Me 101 Crore Kamaye

Fahad Mustafa aur Mahira Khan ki film Agg Lagi Basti Main ne dunyabhar me 101 crore PKR kama kar tareekhi kamyabi hasil kar li hai. Is bari kamyabi ke sath film ne box office par naye record qaim kar diye hain aur fans me be-had pasand ki ja rahi hai.
Kubra Khan Ka Gohar Rasheed Ki Film ‘Maula Jatt’ Par Bayan: ‘Narm Dil Gohar Ko Tashaddud Karte Dekhna Mushkil Tha’

Maroof adakaara Kubra Khan ne inkishaf kiya hai ke unke liye film The Legend of Maula Jatt dekhna mushkil tha. Unhon ne bataya ke haqeeqi zindagi me ‘teddy bear’ jaise narm dil Gohar Rasheed ko screen par shadeed tashaddud aur logo ke sar pharte dekhna unke liye azab-naak tha.
Fawad Khan Ka Naya Look Viral: Aesthetic Treatments Aur Surgery Ke Charchay Shuru

Maroof adakar Fawad Khan ne Ayeza Khan ke sath apni aane wali film me security officer ke kirdar ke liye chotay baalon wala naya look apna liya hai. Unki badli hui rangat aur dublaypan par social media sarfeen me cosmetic surgeries aur aesthetic treatments ki baatein shuru ho gayi hain.
Aima Baig Ka Bold Look Aur ‘Toxic Lover’ Caption Viral: Fans Mein Tajaassus Phel Gaya

Maroof singer Aima Baig ne apne naye bold fashion look ke sath ‘Toxic lover’ ka caption share karke fans me tawajjo hasil kar li hai. Unki is tanzia post par madaah ye jan’ne ke liye tajaassus ka shikar hain ke ye paigham kiske liye hai, jabke unka naya style khoob pasand kiya ja raha hai.
Naujawan Tajir Ke Qatl Par Shuja Asad Baras Pade: Karachi Mein Insaaf Aur Tahaffuz Ka Mutalaba

Maroof adakar Shuja Asad ne Karachi me naujawan tajir ke qatl par afsoos ka izhaar karte hue amno-amaam ki halat par sawalat uthaye hain. Unhon ne kaha ke hum naujawanon ko Karachi me sarmaya kari aur karobar ka kaise kahein jab unhe apni jaan ka khauf ho? Unhon ne shehar mein insaf ka mutalaba kiya hai.
Nadia Jamil Ka Fahad Sheikh Ke Rawayye Par Shadeed Gusse Ka Izhaar

Pakistan ki Maroof senior adakaara Nadia Jamil ne senior adakar Syed Mohammad Ahmed ke sath hone wali bad-tameezi par afsoos ka izhaar kiya hai. Unhon ne kaha ke humein bachpan se sikhaya jata hai ke kuch hudood hotay hain, jinhe Fahad Sheikh ne nihayat buray tareeqay se paar kiya hai.
PML-N MPA Saqib Chaudhry Par Multiple Actresses Ko DMs Bhejne Ka Ilzaam: Screenshots Viral Hone Par Social Media Par Tanqeed Shuru

PML-N ke MPA Saqib Chadhar par Momina Iqbal ke baad digar showbiz khawatein ke sath flirt karne ke ilzamaat samne aaye hain. Syeda Tuba Anwar aur Aruba Mirza ko bheje gaye DMs ke screenshots viral hone par unhe shadeed tanqeed ka samna hai, jabke Saqib ne tamaam ilzamaat ko radd kar diya hai.
Rajab Butt Ki Walida Ka Umar Aur Shadi Par Inkishaaf: ‘Emaan Se Sulah Aur Doosri Shadi Rajab Ka Zaati Mamla Hai’

Maroof YouTuber Rajab Butt ki walida ne aik podcast me unki umar aur shadi ke hawale se ahem inkeshafat kiye hain. Unhon ne bataya ke Rajab 30 saal ke hain aur pehli shadi walida ki pasand se hui thi. Emaan se sulah ya doosri shadi par unhon ne kaha ke ye unka zati mamla hai.