Mathira ne mardon ki nafsiyati sehat par baat karte hue kaha ke muashray ne unhe “machine” bana diya hai. Unhon ne wazahat ki ke mardon ko jazbaat ke izhaar ka moqa nahi milta, jis se wo khamoshi se takleef sehte hain. Unhon ne khandanon par zor diya ke mardon ki kaifiyat ko samjhein.