Rajab Butt Aur Dr. Nabiha Ali Khan Ki Shadi Ki Tajweez Par Social Media Par Mazahiya Reactions Ki Bahar

Social media par maroof YouTuber Rajab Butt aur Dr. Nabiha Ali Khan ki shadi ki tajweez par mazahiya tabsarey kiye ja rahe hain. Dono ki azdawaji zindagi ki tabdeelion aur khabron me rehne ki wajah se aik sarfeen ne unki shadi ka mashwara diya, jis par logon ne unhe aik dusre ke liye munasib aur dilchasp jodi qarar diya.
Aima Baig Fans Ka Pyar Dekh Kar Jazbaati Ho Gain: Saalon Se Milne Wali Hosla Afzai Par Shukriya Ada Kiya

Maroof singer Aima Baig fan page ki taraf se bhejay gaye jazbaati paigham par aabdeeda ho gain. Unhon ne social media par apne fans ki mohabbat aur saalo ki himmat afzai par dil se shukriya ada kiya. Fans ne un ke bina kisi gharoor ke rehne aur chahne walon ke sath mazboot ta’alluq ko bahot saraaha.
Waseem Abbas Ka Firdous Jamal Ki Acting Par Tanqeedi Bayan: ‘Firdous Jamal Overacting Karte Hain’

Senior adakar Waseem Abbas ne aik interview me maroof adakar Firdous Jamal ki acting par tanqeed karte hue unka muqabla late Qavi Khan se kiya. Unhon ne kaha ke Qavi Sahab har kirdar me qudrati lagte the, jabke Firdous Jamal comedy aur theatre me hamesha zyada overacting karte hain.
Maheen Siddiqui Ka Drama OST Se Singing Debut: Shohar Sheheryar Munawar Ke Taawun Ko Kamyabi Ka Zariya Karaar Diya

Adakaara Maheen Siddiqui ne drama Dar-e-Nijat ke OST Mein singing debut kar liya hai. Social media par khushi ka izhaar karte hue unhon ne apne shohar Sheheryar Munawar ka shukriya ada kiya, jin ke bharose aur taawun ne unhe is naye safar ka honsla diya. Fans ne is debut ko bahot pasand kiya.
‘Oonchi Jagah Ta’alluq Banane Ke Liye Arsh Par Mojood Khuda Se Ta’alluq Banayein’: Kanwal Aftab

Maroof digital creator Kanwal Aftab ne ek imaan-afrooz paigham share kiya hai. Unhon ne nasihat karte hue kaha ke agar kisi ko oonchi jagah ta’alluq banane ka shauq hai, to use chahiye ke wo Arsh par mojood Khuda se apna ta’alluq ustwaar kare. Unka yeh paigham social media par bahot pasand kiya ja raha hai.
Rakhi Sawant Ka Apni Roohani Zindagi Par Inkishaf: ‘5 Waqt Ki Namaz, Tahajjud Aur 8 Baar Umrah Ada Kar Chuki Hoon’

Maroof Indian adakaara Rakhi Sawant ne apni roohani zindagi par inkishaf karte hue bataya ke wo 5waqt namaz aur Tahajjud ki paband hain. Unhon ne yeh bhi bataya ke wo ab tak 8 baar Umrah ada kar chuki hain. Unke is bayan par social media par aam bahas chhir gayi hai.
Tabish Hashmi Ka Kashmir Issue Ko Publicity Ke Liye Istemal Karne Par Social Media Par Bhaari Tanqeed

Maroof host Tabish Hashmi ne Kashmir maslay ki video ke baad show Hasna Mana Hai khatam hone ki jhooti khabar de kar awam ki hamdardi haasil ki. Baad me pata chala ke yeh sirf publicity stunt tha, jis par Ali Arif aur Mishi Khan samet sarfeen ne shadeed tanqeed ki.
Imad Wasim Ki Ex-Wife Sannia Ashfaq Ka Nayi Zindagi Ka Aaghaz: Dulhan Ke Roop Mein Video Viral, Shadi Ya Modelling Fans Confuse!

Maroof cricketer Imad Wasim ki purani ahliya Sannia Ashfaq ne Instagram par dulhan ke joray me video share kar ke nayi zindagi ki shuruat ka ishara diya hai. Video me wo apne partner se dulhan ke roop par baat karti dikhayi de rahi hain. Fans unhe shadi ya modeling career ke liye mubarakbaad de rahe hain.
Saba Hameed Aur Faran Tahir Aik Hi Waqt Me Miya-Biwi Aur Maa-Beta Ban Gaye: Social Media Par Mazahiya Reactions

Maroof adakaara Saba Hameed do alag dramon me adakar Faran Tahir ki biwi aur maa ka kirdar aik sath nibhane par charcha mein hain. Drama Bus Tera Saath Hu me dono miya-biwi jabke Dar E Nijat me maa-beta bane hain, jis par fans social media par dilchasp aur mazahiya tabsare kar rahe hain.
Shagufta Ejaz Ka Zahiri Shakal Par Judge Na Karne Ka Paigham: ‘Dil Ka Acha Koi Bhi Ho Sakta Hai’

Maroof adakaara Shagufta Ejaz ne logon ko zaahiri shakal-o-soorat par tanqeed na karne ka paigham diya hai. Unhon ne khush-dili aur ache kirdar ki ahmiyat par zor dete hue kaha ke dil ka acha koi bhi ho sakta hai, is liye har aik ke sath izzat se pesh aana chahiye.