Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

‘Muflis-e-Zindagi Na Samjhe Koi!’: Masjid-e-Nabawi Se Imran Abbas Ki Roohani Post

Adakar Imran Abbas ne Masjid-e-Nabawi se aik roohani aur dil ko chhoo lene wali post share ki hai. Unhon ne likha, “Muflis-e-Zindagi ab na samjhe koi mujh ko, ishq-e-Nabi is qadar mil gaya,” jis ne social media par fans ke dilon ko jeet liya hai aur log unki tareef kar rahe hain.

‘Abu Bakar Jaise Larke Sirf Dramon Mein Hote Hain!’: Drama ‘Dar-e-Nijaat’ Par Zaid Ali Ki Walida Ka Bara Bayan

Famous YouTuber Zaid Ali ki walida Naheed Noor ne drama ‘Dar-e-Nijaat’ par apna khula bayan diya hai. Unhon ne kaha ke Abu Bakar jaise larke sirf dramon mein hote hain. Unhon ne khawateen ko aisi baaton par sakht warn kiya aur Zaryab jaisi harkaton par bolte hue aik bara bayan de diya.

‘Har Sauteli Maa Buri Nahi Hoti!’: Nazish Jahangir Ka Apni Sauteli Maa Par Dil Chhoo Lene Wala Bayan

Adakara Nazish Jahangir ne Nadia Khan ke show mein apni sauteli maa ke baare mein khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke walida ke intiqal ke baad unke waalid ne doosri shadi ki thi. Nazish ke mutabiq unki sauteli maa ne poore ghar ko sambhala aur unka dil jeeta.

‘Salgirah Par Sugar Daddy Ne Kharch Kiye 27 Lakh!’: Influencer Monus Tayyab Ki Video Par Social Media Par Bawal

Pakistani influencer Monus Tayyab Rana ki 27th salgirah ki video social media par tezi se viral ho rahi hai. Video mein unhon ne daawa kiya ke unke “Sugar Daddy” ne salgirah par 27 lakh rupaye kharch kiye hain. Agarchay unhon ne ise aik mazaq qaraar diya, lekin netizens unhein aisi video banane par sakht tanaqeed ka nishana bana rahe hain.

‘Shadi Se Pehle Bhi Social Media Par Nahi Thien, Ab Bhi Nahi Aayengi!’: Saif Ali Khan Ka Apni Biwi Par Bara Bayan

Reality show ‘Tamasha’ ke baad Saif Ali Khan ki zindagi kafi busy ho gayi hai. Aik interview mein unhon ne bataya ke unki wife shadi se pehle social media par nahi thien aur na hi ab unka aane ka koi irada hai. Saif ke mutabiq unhein apna rishta internet par dikhane ki koi zaroorat mehsoos nahi hoti.

‘Naye Project Ka Sahi Waqt Aane Par Batayenge!’: Amar Khan Aur Rajab Butt Ke Naye Project Ne Social Media Par Machaya Shor

Adakara Amar Khan aur mashhoor YouTuber Rajab Butt aik sath naye project par kaam kar rahe hain. Aik fan ke sawal par Amar Khan ne ishaara diya ke dono mil kar aik naye project par kafi mehnat kar rahe hain. Unhon ne kaha ke sahi waqt aane par wo is project ki tafseel fans ke sath share karenge.

‘Kirdar Ke Dukh Ne Mood Kharab Kar Diya!’: Drama ‘Bas Tera Saath Ho’ Par Farhan Saeed Ka Inkishaaf

Singer aur adakar Farhan Saeed ne inkishaf kiya hai ke drama ‘Bas Tera Saath Ho’ mein Anas ka kirdar nibhane se unka apna mood aur rawayya mutasir hone laga tha. Unhon ne bataya ke kirdar ki takleef aur azziyat ki wajah se un mein chirchirapan aa gaya tha. Fans unki adakari ki tareef kar rahe hain.

‘Akele Sone Se Dar Lagta Hai Isliye Noor Ke Saath Soti Hoon’: Sarah Khan

Pakistani adakara Sarah Khan ne bataya hai ke unhein akele sone se dar lagta hai, is liye Noor hamesha unke sath soti hain. Unhon ne yeh bhi bataya ke raat ko paani peene ke liye uthte waqt bhi wo Noor ko jaga deti hain. Unka yeh bayan social media par kafi viral ho raha hai.

‘Kitna Bhi Hate Mile, Lahore Se Pyaar Rahay Ga!’: Indian Singer Diljit Dosanjh Ka Mohabbat Bhara Bayaan

Indian Punjabi singer aur adakar Diljit Dosanjh ne Lahore se apni mohabbat ka izhar kiya hai. Unhon ne kaha ke chahe unhein kitna bhi hate milay, wo phir bhi Lahore se pyar karte rahenge. Diljit ka kehna tha ke wo sab se muhabbat karne ko tarjeeh dete hain aur logon mein farq nahi dekhte.

‘Meri DP Laga Kar Easy-Load Na Maangein!’: Fake Accounts Par Durefishan Saleem Ka Mazahiya Paigham

Maroof adakara Durefishan Saleem ne social media par apne naam se baane nakli accounts ke bare mein fans ko aagah kiya hai. Unhon ne mazahiya andaz mein kaha ke log unka naam istemal kar ke easy-load na maangien. Durefishan ne fans ko aise kisi bhi scam se bachne ki hidayat ki hai.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.