‘Nepo Kid Hai To Kya Hua, Insaan To Hai Na?’: Sanam Saeed Ka Nepotism Aur Tanqeed Par Bara Bayaan

Adakara Sanam Saeed ne ‘nepo kids’ ke haq mein aawaz uthate hue logon ko tanqeed band karne ki hidayat ki hai. Unhon ne kaha ke nepo kid hona koi gunah nahi, wo bhi insaan hain aur unke paas bhi dil hota hai. Unki zaat aur mehnat ko bina wajah nishaana banana bilkul ghalat hai.
18 Ka Samosa 10 Ki Frooti, Har Aurat Ko Safe Environment Dena Har MARD Ki Duty

Adakara Sohai Ali Abro ne social media par mardo ko unki zimmedari yaad dilate hue aik bayan diya hai. Unhon ne mazahiya andaaz mein likha ke “18 ka samosa, 10 ki frooti, har aurat ko safe environment dena har MARD ki duty”. Unka yeh bayan internet par bohot viral ho raha hai.
‘Shakal Ka Mazaaq Banana Ghalat Hai!’: Performance Par Tanqeed Aur Narmi Dikhane Par Mehwish Hayat Ka Bara Bayan

Adakara Mehwish Hayat ne logon se darkhwast ki hai ke adakaron par tanqeed karte waqt narmi ikhtiyar karein. Unka kehna hai ke performance par baat karna sahi hai, lekin kisi ki shakal ya huliye ka mazaak banana ghalat hai. Har shakhs seekh raha hota hai, isliye unhein aage badhne ka mauka dena chahiye.
’28 Saal Ki Umar Mein Salon Business Chhorra!’: Adakaari Ke Liye Zoya Nasir Ka Bara Faisla

Adakara Zoya Nasir ne apni zindagi ke aik bare faisle par se parda uthaya hai. Unhon ne bataya ke 28 saal ki umar mein unhon ne apna salon business chhor diya tha taake wo adakari mein apna career bana sakein. Unka yeh faisla unki zindagi ka aik ahem morr sabit hua.
‘Dananeer Aur Shahveer Ki Nayi Jodi!’: Naya Drama Serial ‘Hurmat’ 5 October Se HUM TV Par On-Air Hoga

Dananeer Mobeen aur Shahveer Jafry naye drama serial ‘Hurmat’ mein pehli baar aoik saath nazar aayenge. Yeh drama 5 October se har Peer aur Mangal ki raat 8 baje HUM TV par nashar kiya jayega. Fans is nayi jodi aur jazbaat se bhari kahani ko dekhne ke liye kafi excited hain.
‘Kya Yeh Pakistan Hai?’: Premiere Event Par Sidra Niazi Ke Western Libaas Par Fans Ka Bara Tabsarah

Adakara Sidra Niazi ko film ‘Sheroes’ ke premiere par pehne gaye dress ki wajah se social media par sakht tanqeed ka samna hai. Unke fitted top aur jeans ke huliye ko fans ne behad bold aur ghair-munasib qarar diya. Internet par log unki is dress choice par kafi narazgi ka izhar kar rahe hain.
Kya Maya Ali Aur Ahad Raza Mir New Couple Hain? Ahad Raza Mir Aur Maya Ali Ke Real-Life Couple Ke Charchay

Drama serial ‘Aik Mohabbat Aur’ ke baad Ahad Raza Mir aur Maya Ali ke real-life couple hone ki afwahain tezi se phail rahi hain. Ahad ki birthday celebration mein lagi photos mein Maya ki tasveer dekh kar fans ne dono ke rishte ke andaazee lagana shuru kar diye hain.
‘Ammi Ne Zewar Bech Kar Parhaya!’: Srha Asghar Ka Maali Mushkilaat Aur Mehnat Par Dil Chhoo Lene Wala Khulaasa

Adakara Srha Asghar ne Nida Yasir ke show mein apni zindagi aur maali mushkilaat par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke walida ne zewar bech kar unhein parhaya. Ab wo aur unke shohar apne teen bachon ki behtar parwarish aur lifestyle ko barqarar rakhne ke liye din raat mehnat kar rahe hain.
‘Pehle Bachhe Ki Aamad?’: Mawra Hocane Ki Birthday Cake Wali Photo Se Fans Mein Charcha!

Mawra Hocane aur Ameer Gilani ke baare mein khabar viral ho rahi hai ke unke ghar pehle bachhe ki aamad ho chuki hai. Mawra ne apni birthday par aik cake ki photo share karke delete kar di, jis par “cutest Mama” likha hua tha. Is cake ki photo ke baad fans daawa kar rahe hain ke wo maan ban chuki hain.
‘Na-Pasandida Mard Do Takke Ka Hi Rehta Hai!’: Muneeb Butt Ka Rishton Aur Daulat Par Bara Bayan

Pakistani adakar Muneeb Butt ne mardon aur aurton ke rishton par aik gehra bayan share kiya hai. Unhon ne kaha ke aurat ka na-pasandida mard kitna hi daulatmand aur haseen kyun na ho, aurat ki nazar mein wo do takke ka hi rehta hai. Unka yeh bayan social media par kafi viral ho raha hai.