Singer aur adakar Farhan Saeed ne inkishaf kiya hai ke drama ‘Bas Tera Saath Ho’ mein Anas ka kirdar nibhane se unka apna mood aur rawayya mutasir hone laga tha. Unhon ne bataya ke kirdar ki takleef aur azziyat ki wajah se un mein chirchirapan aa gaya tha. Fans unki adakari ki tareef kar rahe hain.