Pakistani influencer Monus Tayyab Rana ki 27th salgirah ki video social media par tezi se viral ho rahi hai. Video mein unhon ne daawa kiya ke unke “Sugar Daddy” ne salgirah par 27 lakh rupaye kharch kiye hain. Agarchay unhon ne ise aik mazaq qaraar diya, lekin netizens unhein aisi video banane par sakht tanaqeed ka nishana bana rahe hain.