
Kanwal Aftab Aur Zulqarnain Sikandar Ne Logon Ko Choti Family Rakhne Ka Mashwara Diya
Social media couple Kanwal Aftab aur Zulqarnain Sikandar ne logon ko choti family plan karne ka mashwara diya hai. Q&A session mein unhon ne kaha ke mehngai ke daur mein zyada bachay plan karna mushkil ho jata hai. Dono ne bataya ke woh filhal doosra baby plan nahi kar rahe aur bachon ke darmiyan gap zaroori hota hai.



