
Drama ‘Aap Ki Izzat’ Mein Sania Saeed Ko Maa Ka Kirdar Nibhaane Par Ahsan Khan Ka Dilchasp Bayan
Drama Aap Ki Izzat me Sania Saeed ko Ahsan Khan ki walida ka kirdar nibhane par adakar Ahsan Khan ne wazahat ki hai. Unhon ne Sania ki adakari ko saraha aur mazaqan bataya ke haqeeqat me umar barabar hone ki wajah se wo unhe maa ke bajaye heroine kehte the.



