
Bilal Saeed Par Sonya Hussyn Ko Uncomfortable Karne Ka Ilzaam, Video Viral Hone Par Social Media Par Shadeed Tanqeed
Lahore concert ke doran gulukaar Bilal Saeed ko adakara Sonya Hussyn ko uncomfortable karne par tanqeed ka samna hai. Bilal ne baat karte hue Sonya ko kandhon se pakra, jis par social media sarfeen ne narazi ka izhaar karte hue kaha ke un ka physical touch munasib nahi tha aur is se Sonya uncomfortable lag rahi thin.



