BBC Includes Hadiqa Kiani in “100 World’s Most Inspiring Women” List

Mashhoor Pakistani singer aur adakara Hadiqa Kiani ko BBC ne dunya ki “100 Most Inspiring Women” ki fehrist mein shamil kiya hai. Hadiqa Kiani ko unki shandaar mosiqi aur samaaji kaamon khususan khairati sargarmiyon ki wajah se is azeem azaaz se nawaza gaya hai, jis par poori qaum unhein mubarakbaad de rahi hai.

Aroosa Khan Ka Apnay Punjabi Accent Par Tanqeed Karnay Walon Ko Karara Jawab

Digital creator Aroosa Khan ne apne Punjabi accent par hone wali public tanqeed ka karara jawab diya hai. Qurat ul Ain Iqrar ke sath aik vlog mein unhon ne kaha ke Punjab mein rehne ki wajah se yeh accent fitri hai. Unhon ne mazeed kaha ke jinhein aitraaz hai woh unke vlogs na dekhein aur is complex se bahar niklein.

Zoya Nasir Ne Naye Drame ‘Bas Tera Saath Ho’ Ko ‘Mere Humsafar 2’ Qarar De Diya

Naya drama “Bas Tera Saath Ho” ko mashhoor drama “Mere Humsafar” ka part 2 kaha ja raha hai. Is par adakara Zoya Nasir ne wazahat ki hai ke ibtedai tor par yeh idea “Mere Humsafar” ki tarz par hi banaya gaya tha jahan larke ka kirdar be-bas dikhaya gaya hai, magar agay chal kar yeh kahani bilkul mukhtalif rukh ikhtiyar kar leti hai.

Kya Aap Bhi Green Line Se Pareshan Hain

Karachi mai Congo Virus se doosri maut

Cambridge Paper Leak 2025

Pak Cricketers BBL Mein Shamil

19 June 2025 Forex Rate

1 370 371 372