
Yasir Hussain Ka Naseeruddin Shah Ke Bayan Par Reaction: ‘Shah Sahab Ka Tanz Behtareen Hai’
Pakistani adakaar Yasir Hussain ne senior Indian actor Naseeruddin Shah ke Bollywood adakaaron ki khamoshi par kiye gaye tanz par apne raddeamal ka izhaar kiya hai. Yasir ne un ke bayan ko “sarcasm at its best” qarar diya, jis ke baad social media par izhaar-e-raaye aur mashhoor shakhsiyat ki zimmedari par behas chhid gayi hai.



