Adakara Anmol Baloch ne Maliha Rehman ke show mein Pakistani dramon mein zabardasti ke nikah dikhanay ke rujhan par khul kar baat ki hai. Unhon ne kaha ke screen par ghair shadi shuda joron ka romance nahi dikhaya ja sakta is liye aisa hota hai, halanke woh khud is kahani se ittefaq nahi kartin.