Adakar Danish Taimoor ne Houston mein aik fundraiser event ke doran Ayeza Khan ki ghair mojoodgi aur talaq ki afwahon par khamoshi tor di hai. Unhon ne kaha ke woh Alhamdulillah abhi bhi sath hain aur Ayeza apni aanay wali film ke patchwork mein masroof hain, taham madah unke is bayan ko mashkook qarar de rahe hain.