Junaid Khan aur Momina Iqbal aik baar phir Geo TV ke naye romantic drama serial mein aik sath nazar ayenge. Is drame mein Momina ‘Paras’ naam ki ameer larki jabke Junaid un ke security guard ‘Zawar’ ka kirdar nibha rahe hain. Teaser dekh kar fans excited hain, magar kahani ko Salman Khan ki film ‘Bodyguard’ se inspired bta rahe hain.