Momina Iqbal aur Saqib Chadhar ke qanooni larai mazeed barh gayi hai. Saqib Chadhar ne NCCIA mein bayan jama karwaya hai jis mein unhon ne dawa kiya hai ke unhon ne Momina ki behen Rimsha ki university fees ke liye 13,000 Australian Dollars diye aur blackmailing ki wajah se 83 lakh rupay transfer kiye.