“Do Kinaray Ke Baad Aik Baar Phir Jodi Super Hit!” Junaid Khan Aur Momina Iqbal Ke Naye Drame Ka Teaser Release, Fans Ne Kahani Ko Salman Khan Ki Film ‘Bodyguard’ Se Inspired Qarar Diya

Junaid Khan aur Momina Iqbal aik baar phir Geo TV ke naye romantic drama serial mein aik sath nazar ayenge. Is drame mein Momina ‘Paras’ naam ki ameer larki jabke Junaid un ke security guard ‘Zawar’ ka kirdar nibha rahe hain. Teaser dekh kar fans excited hain, magar kahani ko Salman Khan ki film ‘Bodyguard’ se inspired bta rahe hain.

Sanam Saeed Ne Unke Looks Par Baat Karne Walon Ko Karara Jawab De Diya

Sanam Saeed ne apne looks par aane wale negative comments par baat ki hai. Unhon ne bataya ke khush-qismati se unhein career mein bohot kam trolling ka samna karna para. Kuch log unhein ‘Koji’ kehte hain, jis par Sanam ne behtareen jawab diya ke aane wale aise comments darasal Khaliq (Allah) par hain kyun ke unhein Allah ne banaya hai.