Nida Yasir apnay ghar ki purani househelp Iqbala ke inteqal par behad jazbati ho gaein. Nida ne bataya ke Iqbala un ke family ki tarah thin jinhon ne un ke bachon aur ghar ko sambhalne mein ahem kirdar ada kiya. Unhon ne gham ke bawajood show host kiya aur fans se Iqbala ki maghfirat ke liye dua ki darkhwast ki.