“Bina Ijazat Gaana Istemal Karne Par Karan Johar Ke Khilaaf Case Active!”: Mashhoor Gulukaar Abrar-Ul-Haq Ka ‘Nach Punjaban’ Controversy Par AIk Baar Phir Bara Bayan Viral

Abrar-ul-Haq ne apne mashhoor gaane ‘Nach Punjaban’ ka kissa aik baar phir cher diya hai. Unhon ne wazahat ki ke Bollywood film mein is gaane ke istemal ke liye unhon ne koi ijazat nahi di thi. Abrar-ul-Haq ka kehna hai ke yeh masla abhi tak hal nahi hua aur Karan Johar ke khilaaf legal proceedings (kanooni karwayi) abhi bhi active hain.

Host Fiza Ali Ka 24 News Chorne Ka Asal Sach Saamne Aa Gaya

Fiza Ali ne 24 News HD ke apnay morning show se baqaida istifa de diya hai. Naeem Hanif ke mutabiq Fiza ali London mein Kumar Sanu ke shows mein dance aur shohar ke sath reels banane mein masroof hain, jabke channel ke sath un ki miscommunication chal rahi thi jis ki wajah se unhein istifa dena para.