Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

Apne Bayan Ka Ghalat Matlab Nikalne Par Hira Khan Ka Social Media Pages Ko Karara Jawab

Hira Khan ne social media pages par chalne wali khabar par gusse ka izhaar kiya hai. Unhon ne clear kiya ke unhon ne sirf traditional gender roles par yaqeen na rakhne ki baat ki thi, kyunke wo aur unke shohar bahar ke sath sath ghar ke kaamon me bhi barabar contribute karte hain.

Mashhoor Pakistani Drama ‘Kabhi Main Kabhi Tum’ Ke Iconic Scenes Naye Indian Drame Main Copy Hone Par Internet Par Hungama

Blockbuster Pakistani drama “Kabhi Main Kabhi Tum” ke mashhoor scenes ko naye Indian drama “Qubool Hai” me hu-ba-hu copy kiya gaya hai. Mohit aur Sanaya ke is show me Sharjeena aur Rubab ke kitchen scene samet Mustafa ki aadat ko bhi sasta rip-off bana kar paish karne par social media par Indians ko copycats kaha ja raha hai.

Humrahi Ke Viewers Ka Hiba Bukhari Par Overage Hone Aur Kharab Dressing Ki Wajah Se Shadeed Tanqeed

Drama “Humrahi” me Hiba Bukhari ke Ilham ke role par viewers ne shadeed tanqeed ki hai. Social media par logon ka kehna hai ke wo ab heroine ke role ke liye overage lagti hain. Fans ne unki dressing aur look ko baji aur aunty type kehte hue Ayeza Khan ko behtar choice qarar diya.

Dr. Nabiha Ali Khan Ka Shohar Se Ghar Aakar Masail Hal Karne Ka Mashwara; Divorce Notice Ki Afwahon Par Khamoshi Tor Di

Dr Nabiha Ali Khan ne shohar Haris Khokhar ki taraf se divorce notice ki afwahon ki tardeed kar di. Unhon ne kaha ke aisi koi baat nahi aur wo shadi bachana chahti hain. Nabiha ne shohar ko maslay ghar baith kar hal karne aur social media par batain uchalne se gurez karne ka mashwara diya.

Iqrar Ul Hassan Ki Apni Dosri Biwi Farah Yousaf Ke Sath Shadi Ki 14th Anniversary Ki Sadah Celebration

Iqrar ul Hassan ne apni dosri biwi Farah Iqrar ke sath shadi ki 14th anniversary manayi. Dono ne aik sadah si taqreeb me cake kata aur apne marhoom dost Rajaat Matloob ko bhi yaad kiya. Fans ne is jori ko shadi ki salgirah par bohot si duayein aur mubarakbaad di.

Asim Aur Merub Ke Breakup Ki Haqeeqat! Ali Safina Ne Nadia Khan Ke Show Mein Bara Inkishaf Kar Diya!

Ali Safina ne Nadia Khan ke show me Asim Azhar aur Merub Ali ke breakup par baat ki. Unhon ne clear kiya ke wo sab dost hain aur podcast me sirf mazaq kiya tha. Unhon ne bataya ke asal masla Abdullah naam ke larke ki video se shuru hua, jis ne faltu ka scandal banaya.

Sajal Aly Ne Live Event Mein ‘O Rangreza’ Ka Viral OST Gaa Kar Fans Ki Purani Yaadein Taaza Kar Di

Sajal Aly ne aik live event me apne mashhoor drama “O Rangreza” ka OST gaa kar fans ki purani yaadein taza kar dein. Babar Zaheer ki master class me unki is khubsoorat singing ki video viral ho rahi hai, jis par fans unki awaz aur saadgi ki bohot tareef kar rahe hain.

Nasir Madni Ke Sakht Bayan Par Momina Iqbal Ka Karara Jawab; Qanooni Karwai Ka Faisla

Momina Iqbal ne Islamic scholar Nasir Madni ke sakht bayan par shadeed rad-e-amal diya hai. Nasir Madni ne unke case par tanqeed ki thi, jis par Momina ne unhein aurat ki tazheek par khara jawab diya. Ab unki legal team Nasir Madni ke khilaaf jhoote ilzaam tarashi par qanooni karwayi karegi.

“Bhabhiyon Ko Samajhna Chahiye!”: Ghair-Shadi-Shuda Aur Talaq-Yafta Behnon Ke Hawale Se Adakara Natasha Ali Ka Bayan

Pakistan ki mashhor aur talented adakara Natasha Ali ne bhabhiyon ke liye aik ahem paigham share kiya hai jis mein unhon ne kaha ke bhabhiyon ko samajhna chahiye ke ghair-shadi-shuda ya talaq-yafta behnein apnay walidain ke ghar ke ilawa aur kahan jayengi, is liye unhein izzat aur jagah milni chahiye.

“Makeup Mein Sab Se Zyada Waqt Leti Hain!”: Uk Ki MUA Ka Senior Adakara Bushra Ansari Ke Makeup Ke Shauq Par Bara Inkishaaf

UK ki South Asian makeup artist Shireen ne aik podcast mein bataya ke senior adakara Bushra Ansari ko makeup ka behad shauq hai. Unhon ne bataya ke Bushra makeup mein sab se zyada waqt leti hain aur unhon ne face par gems lagwaye, jis ke baad woh bilkul Madhuri Dixit ki tarah lag rahi thin.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.