Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

“Unhon Ne Poore Cast Ki Dawat Ki Aur Do Din Baad…”: Saira Raza Ki Achanak Maut Par Zoya Nasir Ka Dukh Ka Izhaar

Zoya Nasir ne Nadia Khan ke show me drama “Bas Tera Saath Ho” ki late writer Saira Raza ki achanak maut par dukh ka izhaar kiya hai. Unhon ne bataya ke maut se teen din pehle wo bilkul theek thin, cast se milin aur phir unhein achanak cardiac arrest hua.

“Log Sets Par Namazein Parhte Hain”: Mohsin Abbas Haider Ke Nasha Karne Wale Dawe Par Zoya Nasir Ka Rad-E-Amal

Zoya Nasir ne Mohsin Abbas Haider ke shooting sets par nasha karne wale dawe se ikhtilaaf kiya hai. Unhon ne bataya ke unke tajurbe me log sets par namazein parhte hain aur kaam se mukhlis hote hain. Unhon ne kabhi kisi ko intoxicated nahi dekha aur apne tamam sets par kaam ko enjoy kiya hai.

Ali Zafar Ka Apne Bhai Danyal Zafar Ki Adakari Par Fakhar Ka Izhaar; ‘X’ Par Likha Dilchasp Paigham

Ali Zafar ne apne chote bhai Danyal Zafar ke liye Twitter (X) par khusoosi paigham share kiya hai. Unhon ne drama “Zanjeerein” me Danyal ki behtareen adakari par fakhar ka izhaar karte hue unke porane songs ko appreciate kia. Danyal ne bhi is tareef par apne bhai ka shukriya ada kiya.

Showbiz Ki Kamai Par Tanqeed Karne Wale Fan Ko Nauman Ijaz Ka Karara Jawab; ‘Kabhi Apne Par Bhi Nazar Dalo’

Nauman Ijaz ne aik video me Halal aur Haram ke farq par baat karte hue kaha ke Khuda ne iska faisla insan par chora hai. Jab aik fan ne unki showbiz kamai par sawal uthaya, to unhon ne karara jawab dete hue kaha ke kabhi apne Gireban me bhi jhank kar dekhna chahiye.

Imad Wasim Ki Trophies Saaf Karne Par Nyla Rajah Ki Video Viral; Social Media Par Aik Baar Phir Shadeed Tanqeed

Nyla Rajah ne Instagram par shohar Imad Wasim ki cricket trophies saaf karte hue video share ki, jis par netizens ne unhein shadeed tanqeed ka nishana banaya. Logon ka kehna hai ke unhon ne aik biwi aur bachon ke baap ko chura kar doosre ki mehnat par qabza kiya hai.

Ameesha Patel Ka Pakistan Me Apni Bari Fan Following Ka Daawa; Pakistani Netizens Ne Khush-Fehmi Qarar De Di

Ameesha Patel ne dawa kiya hai ke film “Gadar” ke baad unhein Pakistan se bohot pyar mila hai. Unhon ne kaha ke Pakistani khwateen phone par roti thin aur betiyon ka naam Sakina rakha. Taham, Pakistani social media users ne unke is dawe ko jhoot aur khaam-khayali qarar diya

“Pakistan India Se Kahin Zyada Developed Hai”: Indian Media Ke Jhoot Par Haroon Shahid Ka Karara Jawab

Haroon Shahid ne Ayaz Samoo ke podcast me kaha ke Pakistan infrastructure, taraqqi, safai aur tameez ke mamle me India se kahin behtar hai. Unhon ne Indian media ki taraf se Pakistan ka bura image dikhane par tanqeed ki aur kaha ke haqeeqat janne ke liye unhein khud Pakistan aana chahiye.

Gohar Rasheed Ka Apni Biwi Kubra Khan Ki Salgirah Par Dilchasp Videos Ke Sath Sweet Birthday Post

Gohar Rasheed ne apni biwi aur superstar Kubra Khan ki saalgirah par unke liye aik khubsoorat aur dilchasp post share ki hai. Unhon ne Kubra ki mazahiya videos lagaye hue unki khushiyon ke liye dua ki. Fans is jori ke ‘friends to lovers’ safar ko bohot pasand karte hain.

“Main Namaz Kabhi Nahi Chorti”: Namaz Ki Wajah Se Flight Miss Hone Par Nida Yasir Ka Bayan

Nida Yasir ne bataya ke unki aik flight sirf is wajah se miss ho gayi kyunke wo namaz ada karne chali gayi thin. Unhon ne mazeed kaha ke wo apni namaz kabhi nahi chortin, chahe jo bhi soorat-e-haal ho, isi liye unhon ne flight par namaz ko tarzeeh di.

Maamaamir Ka Bete Ahad Raza Mir Ke Naye Drama ‘Aik Mohabbat Aur’ Ki Tareef Mein Ahem Paigham

Ahad Raza Mir ki maa Maamaamir ne unke naye drama “Aik Mohabbat Aur” ke liye mohabbat ka izhaar kiya hai. Unhon ne bataya ke is drame me koi khoon kharaba, badla, mukka bazi ya sazishein nahi hain. Unke mutabiq yeh drama bilkul mukhtalif aur aik tazah hawa ka jhonka hai.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.