Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

‘Age Is Just A Number’: Gym Me Faysal Quraishi Ki Shandaar Fitness Transformation Ne Social Media Par Dhoom Macha Di

legend drama actor Faysal Quraishi ne sabit kar diya hai ke ‘Age Is Just A Number’, adakaar ki gym me behtareen fitness transformation aur muscular body ki tasveer social media par tezi se viral ho rahi hai. Unke is shandaar fitness andaz ko internet par bohot saraha ja raha hai.

“Tonsils Se Sehatyabi Ke Baad Pehla Paigham!”: Asim Azhar Ka Muharram Ke Baad Naye Music Ka Wada

Singer Asim Azhar ne Instagram par fans ka shukriya ada karte hue bataya ke unhein naye gaano par bohot pyaar mil raha hai, unhon ne apni sehat se mutaliq bataya ke tonsils ke baad ab wo theek hain aur unhon ne Muharram ke baad naye music ka wada bhi kiya hai.

Child Star Shirazi Vlogs Ka 2.7 Million Followers Ka Facebook Page Hack; Fans Pareshan

Pakistan ke Mashhoor child social media star Shirazi Vlogs ka Facebook page hack ho gaya hai, is page par 2.7 million (yaani 27 lakh) se zyada followers mojood hain. Is khabar ne unke chahne walon ko kaafi pareshan aur herat me daal diya hai aur fans page ki jald recovery ki dua kar rahe hein.

Hospital Mein Ward Donate Karne Par Hania Aamir Ko Awam Ki Taraf Se Appreciation

Pakistan ki mashhoor and talented star Hania Aamir ne Sughra Shafi Medical Complex me aik ward donate kiya hai, jis ki wajah se unhein bohot tareef mil rahi hai. Sahara Trust Hospital ne unka shukriya ada kiya, fans social media par Hania ke is naik kaam aur jazbay ko bohot saarah rahe hain.

Ahmad Shah Ne Share Ki Umer Shah Ki Pyari Memories; Fans Bhi Ghamzada

Ahmad Shah ne apne chote bhai Umer Shah ki aik pyari video share ki hai. Umer Shah ka pichle saal fefdon ki beemari ki waja se achanak inteqal ho gaya tha. Ahmad ne unhein yaad karte hue unke sath guzre ache waqt ki yaadein taza keen, jis par fans kaafi udas dikhai diye.

“Change Is Tough But Naik Kaam Mein Allah Saath Hota Hai”: Iqrar-ul-Hassan Ke ARY Chorne Par Bete Pehlaaj Ka Bayan

Pakistani famous anchor Iqrar ul Hassan ke ARY Digital chorne par unke bete Pehlaaj Hassan ka aik ahem bayan samne aya hai. Pehlaaj ne is faisle par baat karte hue kaha ke tabdeeli mushkil zaroor hoti hai, lekin kisi bhi naik kaam me Allah hamesha sath deta hai. jis pe fans ne mixed reactions diye.

Argentina Ki Jersey Pehan Kar Tasveerain Share Karne Par Adakaara Nawal Saeed Internet Par Tanqeed Ki Zad Mein

Adakaara Nawal Saeed ne FIFA World Cup me apni pasandeeda team Argentina ko support karne ke liye jersey pehan kar tasaveer share keen. Taham, unke is sleeveless libas par social media users ne unhein kadi tanqeed ka nishana banaya aur kuch logon ne unke is andaz ko na-pasand kiya.

“Main Shayad Aapse Bhi Zyada Pakistani Drame Dekhti Hoon”: Indian Actress Sargun Mehta Ka Dilchasp Bayan

Indian adakaara Sargun Mehta ne Pakistani dramon aur adakaaron ki khule dil se tareef ki hai. Unhon ne bataya ke wo bohot zyada Pakistani drame dekhti hain aur unhein Humayun Saeed, Mahira Khan, Bilal Abbas Khan aur Hania Aamir jaise baday sitaron ke baare me sab maaloom hai aur woh inki fan bhi hein.

“Woh Mera Bachpan Ka Bayan Tha”: Imran Khan Par Iqrar-ul-Hassan Ke Bete Pehlaaj Ka U-Turn

Iqrar ul Hassan ke bete Pehlaaj ne Imran Khan se mutaliq apne purane bayan par U-turn le liya hai. Unhon ne bataya ke 8 saal pehle unhon ne bacha hone ki wajah se sirf personality se mutasir ho kar wo baat kahi thi. Pehlaaj ke mutabiq, kisi ko bhi pooja ki had tak nahi le jana chahiye.

“Dramas Mein Shadi Ki Raat Ko Kuch Zyada Hi Fantasise Kiya Jaata Hai”: Iffat Omar Ka Apni Pehli Raat Par Dilchasp Bayan

Iffat Omar ne bataya ke dramas me shadi ki raat ko bohot zyada fantasise kiya jata hai jabke haqeeqat alag hoti hai. Unhon ne bataya ke unhon ne apni shadi ki raat zameen par baith kar sirf salami ke paise ginnay me guzari thin kyunke wo rakam ke baare me bohot curious thin.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.