Ahsan Khan Ki Act Of Kindness Ki Video Par Shadeed Backlash Ka Samna

Pakistani actor Ahsan Khan ki ek video social media par viral ho gayi hai jis mein woh sadak par logon ki madad karte nazar aaye. Unhon ne sabzi wale ki madad ki aur ek shakhs ko road cross karwaya. Lekin video share karne par users ne tanqeed ki aur kaha ke naiki ko social media par dikhana zaroori nahi.

Javeria Saud Ko Shehzadi Ka Mazaq Uranay Par Backlash Ka Samna

Javeria Saud ko viral personality Shehzadi ka mazaak urane par social media par sakht backlash ka samna hai. Ramzan transmission mein unhon ne Samra ki height aur appearance par comment kiya aur hans pari, jabke Amna Ilyas ne bhi mimicry ki. Clip viral hote hi users ne Javeria ko tanqeed ka nishana bana diya aur Samra ko respect dene ka kaha.

Sidra Niazi Ne Katrina Kaif Se Comparison Par Khul Kar Baat Ki

Sidra Niazi ne show Hasna Mana Hai mein Katrina Kaif se comparison par khul kar baat ki. Unhon ne kaha ke log unhein Katrina Kaif aur Yami Gautam se compare karte hain lekin unke aur Katrina ke looks mein kaafi farq hai. Sidra ne kaha yeh sirf logon ki observation hai aur unhon ne Yami Gautam ka kaam bhi nahi dekha.

Maya Khan Ka Veena Malik Ke Viral Clip Aur Producers Par Bara Inkishaaf

Maya ne Ramzan transmissions mein rating ke liye hone wali sansani ka bhanda phod diya. Unhon ne kaha ke host se zyada producers rating aur paison ke liye actors se aisa kaam karwatay hain. Veena Malik ke viral clip par baat karte hue unhon ne producers ko barabar ka zimmedar thehraya aur kaha ke actors ko royalties na milna asal masla hai.

Drame Mein Apni Hi Maa Ka Bachpan Ban Gayi: Jahan Ara Ne Sab Ko Heran Kar Diya

Mashhoor adakaara Faiza Hasan ki beti Jahan Ara ne drama ‘Tum Larkay Bhi Na’ se acting ki duniya mein qadam rakh diya hai. Dilchasp baat yeh hai ke unhon ne drame mein apni hi walida ke bachpan ka kirdar ada kiya. Jahan Ara ki shakal aur muskurahat bilkul apni maa se milti hai, jisay dekh kar fans dang reh gaye.