“Aisi Kamai Haram Hai”: Behroze Sabzwari Ka Podcasters Par Sakht Ghussa

Behroze Sabzwari ne controversal podcasts karne walon ko kadi tanqeed ka nishana banaya hai. Unhon ne kaha ke host ratings ke liye doosron ko takleef pohanchate hain aur aisi kamai “Haram” hai. Behroze ke mutabiq unki purani baatein off-the-record thin jinhen viral kiya gaya. Unhon ne sawal kiya ke kya log ab Halal aur Haram ka farq bhool chuke hain?
“Namaz Ne Mujhe Woh Sukoon Diya Jo Duniya Ki Kisi Cheez Mein Nahi Mila”: Feroze Khan

Feroze Khan ne bataya hai ke namaz ne unhen woh sukoon diya hai jo unhen dunya ki kisi aur cheez mein nahi mila. Unhon ne kaha ke namaz parhne se unki zindagi mein aik gehra roohani itminan aur sukoon paida hua hai. Feroze Khan ke is spiritual paigham ko social media par fans ki janib se kafi pasand kiya ja raha hai.
“Kafeel” Ki Kamyabi Ke Baad Sanam Saeed Aur Emmad Irfani Phir Aik Saath

Drama “Kafeel” ki shandaar kamyabi ke baad, Sanam Saeed aur Emmad Irfani aik naye project mein saath kaam karenge. Is drame ko maroof director Mehreen Jabbar direct kar rahi hain jo HUM TV par saal ke aakhir tak present kia jayega. Fans is behtareen jodi ko dobara screen par dekhne ke liye boht zyada excited hain.
Hollywood Star Anne Hathaway Ka “InshaAllah” Kehna Logon Ko Confuse Kar Gaya

Mashhoor Hollywood actress Anne Hathaway ki aik video viral ho rahi hai jis mein wo “InshaAllah” kehti nazar aa rahi hain. Interview ke doran umar barhne ke sawal par unhon ne kaha ke wo, InshaAllah, aik lambi aur sehat mand zindagi guzarna chahti hain. Fans unke is andaaz ko boht pasand kar rahe hain aur unhen “Sister Anne” keh rahe hain.
Pakistan Ko Represent Kar Rahi Thi Isliye Indian Award Show Mein Backless Dress Pehnne Se Inkaar Kar Diya Tha, Reema Khan.

Reema Khan ne inkishaf kiya hai ke unhon ne aik Indian award show mein backless dress pehenne se inkaar kar diya tha. Unka kehna hai ke wo wahan Pakistan ko represent kar rahi thin, isliye unhon ne apne libas mein mulki izzat aur apne culture ko tarjeeh di. Reema ke is bayaan ko social media par boht appreciate kia ja raha hai.
Emaan Ne Celebrate Ki Kivan Sultan Ki 7-Month Birthday

Emaan ne apne bete Kivan Sultan ki 7-month birthday nihayat pyare andaaz mein manayi. Unhon ne social media par neele rang ke khubsoorat cake aur decor ki tasaveer share kin, jinhen dekh kar fans boht khush ho rahe hain. Ye choti si celebration internet par kafi pasand ki ja rahi hai aur log bachay ke liye duaen de rahe hain.
Firdous Jamal Ko Legend Adakaron Par Tanqeed Karna Mehnga Par Gaya

Firdous Jamal ne Abid Ali, Talat Hussain aur Qavi Khan samait kai bare naamon par tanqeed ki. Unhon ne Rahat Kazmi ko “showpiece” aur Shafi Mohammad ko “ghair-adakaar” keh dala. In hairan kun bayanaat par social media par kafi ghussa dekha ja raha hai kyunke jin sitaron ki unhon ne burai ki, un mein se aksar ab is dunya mein nahi rahe.
“Uncle, Kamar Mein Dard Ho Jaye Ga” Fiza Ali Ke Shohar Ki Romantic Backflips Par Logon Ne Ki Trolling

Fiza Ali ne London mein apne shohar Ejaz Khan ki backflips karte hue video share ki. Fiza ka kehna hai ke unke shohar unhen khush karne ke liye ye sab karte hain. Viewers is video par mazaq bana rahe hain aur kuch ne to unhen “bandar” tak keh dala, jabke kuch log unhen back pain se bachne ka mashwara de rahe hain.
“Saste Podcasters Sitaron Ko Neecha Nahi Dikha Sakte” Javeria Saud Ka Meera Aur Saud Ke Maazi Par Khula Paighaam

Javeria Saud ne Meera aur Saud ke purane relation par baat karne walon ko sakht tanqeed ka nishana banaya hai. Unhon ne kaha ke saste podcasters purani baaton ke zariye mashhoor sitaron ki izzat kam nahi kar sakte. Javeria ne Irshad Bhatti aur digar logon ko mashwara diya ke wo doosron ko neecha dikha kar apni worth badhane ki koshish na karen.
Farhan Saeed Aur Sana Javed Ka Naya Drama: “Bas Tera Saath Ho”, Fans Naye Jore Ko Screen Par Dekhne Ke Liye Bohat Excited Hain

Farhan Saeed aur Sana Javed pehli baar aik saath naye drama “Bas Tera Saath Ho” mein nazar aayenge. Is drama ko Saira Raza ne likha hai. Pehle teaser mein Farhan Saeed ko kafi jazbati dikhaya gaya hai jo apni tanhai mein maa baap ko yaad kar rahe hain. Fans is naye jore ko screen par dekhne ke liye bohat excited hain.