Momina Iqbal Ka Daring Action, Dakuon Se Luta Hua Saman Wapas Chheen Liya

Momina Iqbal ne dakuon se apna luta hua saman wapas lekar sab ko heran kar diya. Shooting ke doran un ki car, iPhone aur marhoom waalid ka wallet chori ho gaya tha. Momina ne haar maan-ne ke bajaye khud ‘detective’ ban kar ‘Find My iPhone’ ke zariye dakuon ka peecha kiya aur police ki madad se apna qeemti saman baramad karwa liya.

Pakistani Celebrities Ramadan Mein Larnay Wali Actresses Ko Call Out Karne Lage

Pakistan ke mashhoor actors and actresses jese Nauman Ijaz, Amna Malik aur Samar Jafri ne Ramadan 2026 mein actresses ke darmiyan chalne wali social media laraiyon par khuli tanqeed ki hai. Celebrities ne industry ko mashwara diya ke muqaddas mahine mein behas aur controversies se parhez karein aur Ramadan ka ehtaram barqarar rakhein.

Ushna Shah Aur Unke Shohar Ne Apna Yaadgar Umrah Experience Share Kiya

Pakistan ki mashhoor Actress Ushna Shah aur unke husband Hamza Amin ne apna yaadgar Umrah experience share kiya. Bahar-e-Ramzan transmission mein dono ne bataya ke Umrah bohot hi sukoon aur humility se bhara safar tha. Hamza ke liye yeh pehla Umrah tha jab ke Ushna ne unhein poora guide kiya.

Aina Asif Apne Liye Aik Achay Match Ki Talaash Par Baat Karte Hue

Aina Asif ne aik interview mein apni personal life par khul kar baat karte hue kaha ke abhi tak unhein apna perfect match nahi mila. Unka kehna tha ke aksar kuch baaton ke baad hi samajh aa jata hai ke saamne wala unke liye theek nahi. Busy routine aur emotional mismatch ko bhi unhon ne wajah bataya.