‘Content Creation Ka Aaghaz’: Nida Yasir Ki Beti Sila Yasir Ka Pehla Vlog Social Media Par Viral

Maroof host Nida Yasir ki beti Sila Yasir ne Instagram par digital content creation ka aaghaz kar diya hai. Unhon ne aik ‘Get Ready With Me’ video ke zariye apna ta’aruf karwaya. Sila ne bataya ke unhon ne UK se fashion designing ki hai aur wo fashion vlogs share karengi.
‘Naya YouTube Channel’: Emaan Assad Ki Social Media Par Wapsi, Fans Mein Khushi Ki Lehar

Maroof content creator Rajab butt ki ex wife Emaan Assad apna naya YouTube channel shuru kar ke social media par wapsi kar rahi hain. Un ke bhai Aon Sheikh ne bataya ke channel aik se do din mein tayyar ho jaye ga. Fans un ke is naye safar ke liye kafi pur-josh aur excited hain.
‘Pehle Gift Mein Zameen’: Iqra Aur Areeb Ka Apni Beti Ke Liye Khas Gift Social Media Par Chha Gaya

Maroof jori Iqra aur Areeb ne apni beti ko pehle gift ke tor par zameen khareed kar di hai. Unhon ne is khas lamhe ko zati tor par yaadgar banate hue social media par share kiya. Fans is pyare gift aur walidain ke is faisle ki kafi tareef kar rahe hain.
“Log Agar Mujhe Iqra Ke Naam Se Jaante Hain Par Mujhe Koi Farq Nahi Parta Kyunke Mujhe Apne Aap Pe Confidence Hai”: Yasir Hussain

Maroof adakar aur host Yasir Hussain ne kaha hai ke agar log unhein un ki biwi Iqra Aziz ke naam se pehchante hain to unhein koi fark nahi parta. Unhon ne bataya ke unhein apne aap par poora confidence hai. Un ke is wazeh bayan ko fans kafi pasand kar rahe hain.
‘Naya Record Ban Gaya’: Danish Taimoor Ke Teen Dramon Ne YouTube Par Aik Billion Views Hasil Kar Liye

Maroof adakar Danish Taimoor ne YouTube par naya record qaim kiya hai. Wo pehle Pakistani adakar ban gaye hain jin ke musalsal teen drame ‘Sher’, ‘Man Mast Malang’, aur ‘Humrahi’ aik billion se zyada baar dekhe gaye hain. Is bari kamyabi par un ke fans kafi khush aur pur-josh hain.
‘Jalne Walon Ko Jalne Do’: Rakhi Sawant Pakistani Adakara Hania Aamir Ki Himayat Mein Aa Gayin

Indian adakara Rakhi Sawant ne Pakistani adakara Hania Aamir par hone wali tanqeed ke baad un ki himayat ki hai. Unhon ne kaha ke logon ki baat par dhyan diye bina aage barhna chahiye. Rakhi Sawant ke is bayan par social media par fans kafi charcha kar rahe hain.
Adakaar Danyal Zafar Ki Mangni Ki Tasveerein Social Media Par Viral

Maroof singer Ali Zafar ke chote bhai aur adakar Danyal Zafar ki mangni ho gayi hai. Unhon ne aik sada aur private khandani taqreeb mein mangni ki, jis mein sirf qareebi rishtedar shamil huye. Fans ne social media par Danyal ko mubarakbaad dete huye is sadgi ko kafi pasand kiya hai.
‘Dil Tootne Ka Dard Behtareen Dikhaya’: Amar Khan Ne Durefishan Saleem Ki Adakaari Ki Tareef Kar Di

Pakistan ki Mashhhor Maroof adakara Amar Khan ne drama ‘Dar-e-Nijaat’ mein Durefishan Saleem ki adakari ki shadeed tareef ki hai. Unhon ne kaha ke Durefishan ne mohabbat mein dil tootne ka dard behtareen tariqay se dikhaya hai. Is ke saath unhon ne Nameer Khan ki adakari ko bhi saraha.
‘Ajrak Ko Kurta Bana Diya’: Naye Clothing Collection Par Adakara Asma Abbas Phir Tanqeed Ka Shikar

Maroof adakara Asma Abbas ko un ke naye clothing brand ke designs par aik baar phir social media par tanqeed ka samna hai. Un ki Sindhi Ajrak se mutassir naye collection ke kapdon aur prints par logon ne na-pasandidgi ka izhar kiya aur unhein fashion ke mutabiq na hone par trolled kiya.
Anokhi Collaboration, Hania Aamir Aur Rakhi Sawant Ka Pehla Song ‘Pablo’ Ne Internet Par Dhoom Macha Di

Maroof adakara Hania Aamir ne apne naye gane ‘Pablo’ mein Indian adakara Rakhi Sawant ke sath mil kar kaam kiya hai. Hania ne Entertainment ki dunya mein 10 saal pooray hone par yeh song release kiya, jis mein Rakhi ki aawaz bhi shamil hai. Is collaboration par social media par mixed reactions samne aa rahe hai.