Chote vlogger Shiraz ne apne gaaon ke khali makan ko khawateen ke liye vocational school mein badal diya hai. Is qadam ka maqsad gaaon ki aurton ko hunar sikha kar unhein khud kafil banana hai. Is naik kaam ki wajah se Shiraz ki social media par khoob tareef ho rahi hai.