Adakar Imran Ashraf ne drama ‘Nashtar’ ke aik scene par hone wali trolling ke baad Danish Taimoor ki himayat ki hai. Unhon ne kaha ke Danish aik bare star hain jin’hon ne hamesha behtareen kaam kiya hai. Sirf aik scene ki wajah se unhein nishana banana aur unki khidmat ko bhool jana bilkul ghalat hai.