
“Bhabhiyon Ko Samajhna Chahiye!”: Ghair-Shadi-Shuda Aur Talaq-Yafta Behnon Ke Hawale Se Adakara Natasha Ali Ka Bayan
Pakistan ki mashhor aur talented adakara Natasha Ali ne bhabhiyon ke liye aik ahem paigham share kiya hai jis mein unhon ne kaha ke bhabhiyon ko samajhna chahiye ke ghair-shadi-shuda ya talaq-yafta behnein apnay walidain ke ghar ke ilawa aur kahan jayengi, is liye unhein izzat aur jagah milni chahiye.



