
‘Dono Aik Hi Deen Seekh Rahe Hain Magar Farq Tarbiyat Aur Niyat Ka Hai!’: ‘Dar-E-Nijaat’ Mein Zamil Aur Abu Bakar Ke Mazhabi Rawayye Par Sania Saeed Ka Tajziya Viral
Senior adakara Sania Saeed ne drama serial ‘Dar e Nijaat’ mein Zamil aur Abu Bakr ke mazhabi rawaiye ke farq par khul kar baat ki hai. Unhon ne kaha ke dono aik hi deen seekh rahe hain, magar Abu Bakr ne apni maa se hamdardi aur rehmdili seekhi jabke Zamil deen ko apne zaati mafad ke liye istemal kar raha hai.



