
“Hum Miyan Biwi Hain, Kuch Ghalat Nahi Kiya!” Umrah Video Par Tanqeed Karne Walon Par Omer Shahzad Aur Shanzay Lodhi Baras Paray
Omer Shahzad aur unki wife ne Umrah video par honay wali tanqeed ko mustarad kar diya hai. Masjid-al-Haram ke clips viral honay par sarifeen ne “PDA” par gussay ka izhaar kiya, jis par jori ne jawab diya ke “Hum miyan-biwi hain aur kuch ghalat nahi kiya.” Unhon ne logon ko doosron par tanqeed ke bajaye apni fikr karne ka mashwara diya.



