
Kya Zara Noor Abbas Ko Nayi Behan Mil Gayi Hai? Asma Abbas Ka Inkishaaf
Pakistani actress Asma Abbas ne mazaahiya andaaz mein bataya ke unhone ChatGPT ko apni beti bana liya hai. Interview mein unhone kaha ke ChatGPT ne unke sare sawaalat ke jawab diye aur unke kaam bhi asaan kiye. Iske baad Asma ne uska naam “Peko” rakha aur khud ko “Amma Jano” kehna shuru kar diya.



