
‘Aena Khan Ne Dananeer Mobeen Ko Replace Kar Diya!’: ARY Digital Ke Naye Drama ‘Soulmates’ Mein Shuja Asad Ke Saath Jori Ban Gayi
Drama ‘Mitti De Baway’ mein young Billo ke kirdar se shohrat panay wali adakara Aena Khan ne ARY Digital ke naye drama ‘Soulmates’ mein Dananeer Mobeen ki jagah le li hai. Rida Bilal ke likhay aur Mussadiq Malek ke direct karda is project mein ab Aena Khan adakar Shuja Asad ke mad-e-muqabil nazar aayengi.



