
‘Dil Se Maazrat Chahta Hoon!’: Ducky Bhai Ne ‘DHA Wali Maid’ Controversy Par Maafi Maang Li
Mashhoor YouTuber Ducky Bhai ne ‘DHA wali maid’ ke hawalay se paida hone walay tanazay par maafi maang li hai. Unhon ne apne bayan mein wazahat ki ke unka maqsad kisi ki dil azari karna hargiz nahi tha, aur agar kisi ko unki baat buri lagi ho toh woh dil se mazarat chahte hain.



